wo lamha
tai kar luuñ ye raat kā jangal
pī luuñ thoḌā
gadle dariyāoñ kā ye be-rang sā paanī
apnī khulī hathelī se maiñ
chhū luuñ ThanDī ret kī narmī
sūraj ke aane tak
apnī saarī ārzūoñ ko
Thos kināroñ kī pahchān batā duuñ
shāyad thoḌī der kī mohlat
zard ujāle meñ mil jaa.e
vaqt ke patthar ke nīche
in dabe hue hāthoñ ko
vo lamha mil jaa.e
tai kar lun ye raat ka jangal
pi lun thoDa
gadle dariyaon ka ye be-rang sa pani
apni khuli hatheli se main
chhu lun ThanDi ret ki narmi
suraj ke aane tak
apni sari aarzuon ko
Thos kinaron ki pahchan bata dun
shayad thoDi der ki mohlat
zard ujale mein mil jae
waqt ke patthar ke niche
in dabe hue hathon ko
wo lamha mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.