phir tirī titlī-numā sūrat mujhe yaad aa ga.ī
mujh ko vo lamha abhī bhūlā nahīñ
ek kone meñ ka.ī logoñ ke saath
guftugū meñ munhamik khoyā huā
merī ā.ankhoñ ne kabhī tujh sā koī dekhā na thā
maiñ tujhe takne lagā
der tak taktā rahā
aañkh se kānoñ se hoñToñ se tujhe taktā rahā
kyā ajab dīvāngī thī
rashk aayā baḳht pe apne mujhe
lafz ke asrār mujh pe vā hue
ghanTiyāñ sī mere kānoñ meñ bajīñ
nuur ke sailāb meñ Duubī huī is shaam kī
ek ik saa.at tire ham-rāh hai
ruk gayā hai vaqt is ik moḌ par
maiñ judā.ī ke liye majbūr thā
tū judā.ī par jahāñ masrūr thā
phir teri titli-numa surat mujhe yaad aa gai
mujh ko wo lamha abhi bhula nahin
ek kone mein kai logon ke sath
guftugu mein munhamik khoya hua
meri aaankhon ne kabhi tujh sa koi dekha na tha
main tujhe takne laga
der tak takta raha
aankh se kanon se honTon se tujhe takta raha
kya ajab diwangi thi
rashk aaya baKHt pe apne mujhe
lafz ke asrar mujh pe wa hue
ghanTiyan si mere kanon mein bajin
nur ke sailab mein Dubi hui is sham ki
ek ek saat tere ham-rah hai
ruk gaya hai waqt is ek moD par
main judai ke liye majbur tha
tu judai par jahan masrur tha
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 538)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.