wo pyas karwaT badal rahi hai
vo ek nannhī sī pyaas jis ne
sarāb-e-sahrā kī dāstānoñ ko apne ḳhuuñ se raqam kiyā thā
jafā ke tīroñ ko ḳham kiyā thā
vafā kī āñkhoñ ko nam kiyā thā
buland haq kā alam kiyā thā
vo pyaas karvaT badal rahī hai
ab apne pairoñ se chal rahī hai
vo pyaas
bachpan meñ jis ne sātoñ samundaroñ kā safar kiyā thā
vo pyaas
jis kī ḳhamoshiyoñ ne sadā-e-dariyā ko sar kiyā thā
vo pyaas
jis ne sitamgaroñ kā sukūn zer-o-zabar kiyā thā
sitam ke aivāñ meñ aa ga.ī hai
wo ek nannhi si pyas jis ne
sarab-e-sahra ki dastanon ko apne KHun se raqam kiya tha
jafa ke tiron ko KHam kiya tha
wafa ki aankhon ko nam kiya tha
buland haq ka alam kiya tha
wo pyas karwaT badal rahi hai
ab apne pairon se chal rahi hai
wo pyas
bachpan mein jis ne saton samundaron ka safar kiya tha
wo pyas
jis ki KHamoshiyon ne sada-e-dariya ko sar kiya tha
wo pyas
jis ne sitamgaron ka sukun zer-o-zabar kiya tha
sitam ke aiwan mein aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.