wo qasid mar chuka hai
parinde
raat kī shāḳhoñ pe baiThe haiñ
paroñ meñ
apnī choñchoñ ko dabā.e
ūñghte jaate haiñ
aur ye sochte haiñ
vo qāsid
jo gayā thā
sub.h kā chehra
kahīñ se maañg kar laane
abhī tak lauT kar aaya nahīñ hai
vo qāsid
sub.h ke hamrāh
kab aa.egā
kab is āsmāñ ke
zard ruḳhsāroñ pe surḳhī dauḌ jā.egī
parinde
ūñghte jaate haiñ
aur ye sochte haiñ
unheñ muzhda
vo qāsid
mar chukā hai
unheñ muzhda
ki un ke par salāmat haiñ
vo utreñ
raat kī shāḳhoñ se utreñ
ḳhalāoñ ke samundar par chaleñ
aur sub.h ko
apne paroñ se
bāñdh kar laa.eñ
parinde
raat ki shaKHon pe baiThe hain
paron mein
apni chonchon ko dabae
unghte jate hain
aur ye sochte hain
wo qasid
jo gaya tha
subh ka chehra
kahin se mang kar lane
abhi tak lauT kar aaya nahin hai
wo qasid
subh ke hamrah
kab aaega
kab is aasman ke
zard ruKHsaron pe surKHi dauD jaegi
parinde
unghte jate hain
aur ye sochte hain
unhen muzhda
wo qasid
mar chuka hai
unhen muzhda
ki un ke par salamat hain
wo utren
raat ki shaKHon se utren
KHalaon ke samundar par chalen
aur subh ko
apne paron se
bandh kar laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.