wo rasta
chalte jaatā huuñ
us kī bāheñ thāme
vo thaktā nahīñ
maiñ ruktā nahīñ huuñ
bachpan se saath huuñ
badle hai rañg ka.ī
us ne aur maiñ ne
aksar tanhā.ī meñ
ham saath hote hai
vo patto se ladā huā
kabhī dhuup meñ
jaltā huā
barsāt meñ na chāhe
bhīgtā huā
vo rāsta
jo mere
ghar se nikal kar
duur jañgaloñ meñ
jaatā hai
vo aaj bhī
tanhā.ī meñ
merā saath nibhātā hai
us se bachpan kī
kitnī yādeñ hai juḌī
mere paidā hone par
vo miTTī kā thā
vo mujh ko paTaktā
maiñ use paTaktā thā
akasr āpā-dhāpī
meñ ham donoñ lāl-pīle
ho jaate the
ek baar zor se
paTak diyā thā
maiñ ne use
kuchh kharoñche
aa.ī mujhe
us kī bhī
kalā.ī chhil
ga.ī thī
donoñ mil kar
saath chīḳhe the
vo rāstā
jo mere
ghar se nikal kar
duur jañgaloñ meñ
jaatā hai
vo aaj bhī
tanhā.ī meñ
merā saath nibhātā hai
mere saath vo bhī
kapḌe badalne lagā
laal se piilā
piile se iiñTe kā
iiñTe se patthar kā
patthar se Dāmar kā
ho gayā
badalte samay ke
saath maiñ aur rāstā
badal gayā
lekin
lekin
ham aaj bhī
saath chalte hai
vo rāstā
jo mere
ghar se nikal kar
duur jañgaloñ meñ
jaatā hai
vo aaj bhī
tanhā.ī meñ
merā saath nibhātā hai
is baar jab
us se milne gayā
to baḌā dukhī thā vo
kahtā hai
purānī Dāmar sūkhtī
nahīñ
ye na.ī uDel dete
terī surḳh yaado ko
khan kar
kahī Dhakel dete hai
vo rāstā
jo mere
ghar se nikal kar
duur jañgaloñ meñ
jaatā hai
vo aaj bhī
tanhā.ī meñ
merā saath nibhātā hai
chalte jata hun
us ki bahen thame
wo thakta nahin
main rukta nahin hun
bachpan se sath hun
badle hai rang kai
us ne aur main ne
aksar tanhai mein
hum sath hote hai
wo patto se lada hua
kabhi dhup mein
jalta hua
barsat mein na chahe
bhigta hua
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
us se bachpan ki
kitni yaaden hai juDi
mere paida hone par
wo miTTi ka tha
wo mujh ko paTakta
main use paTakta tha
akasr aapa-dhapi
mein hum donon lal-pile
ho jate the
ek bar zor se
paTak diya tha
main ne use
kuchh kharonche
aai mujhe
us ki bhi
kalai chhil
gai thi
donon mil kar
sath chiKHe the
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
mere sath wo bhi
kapDe badalne laga
lal se pila
pile se inTe ka
inTe se patthar ka
patthar se Damar ka
ho gaya
badalte samay ke
sath main aur rasta
badal gaya
lekin
lekin
hum aaj bhi
sath chalte hai
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
is bar jab
us se milne gaya
to baDa dukhi tha wo
kahta hai
purani Damar sukhti
nahin
ye nai uDel dete
teri surKH yaado ko
khan kar
kahi Dhakel dete hai
wo rasta
jo mere
ghar se nikal kar
dur jangalon mein
jata hai
wo aaj bhi
tanhai mein
mera sath nibhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.