wo raushni
palkoñ se merī phir vahī uljhī hai raushnī
vo raushnī jo ek sub.h chal dī tyaag kar
mere hisār-e-ġham ke shikasta makān ko
mere dayār-e-jism ke har rang-o-bū se duur
vo raushnī jo dhūeñ kī chādar meñ kho ga.ī
vo raushnī jo aag kī lapToñ meñ thī ravāñ
simTī to raakh ban ga.ī mere nasīb kī
vo raakh jo ki dafn hai gañgā kī god meñ
palkon se meri phir wahi uljhi hai raushni
wo raushni jo ek subh chal di tyag kar
mere hisar-e-gham ke shikasta makan ko
mere dayar-e-jism ke har rang-o-bu se dur
wo raushni jo dhuen ki chadar mein kho gai
wo raushni jo aag ki lapTon mein thi rawan
simTi to rakh ban gai mere nasib ki
wo rakh jo ki dafn hai ganga ki god mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.