wo shaKH-e-mahtab kaT chuki hai
bahut dinoñ se
vo shāḳh-e-mahtāb kaT chukī hai
ki jis pe tum ne giraft-e-va.ada kī reshmī shaal ke sitāre sajā diye the
bahut dinoñ se
vo gard-e-ehsās chhaT chukī hai
ki jis ke zarroñ pe tum ne
palkoñ kī jhālroñ ke tamām nīlam luTā diye the
aur ab to yuuñ hai ki jaise
lab-basta hijratoñ kā har ek lamha
tavīl sadiyoñ ko oḌh kar saañs le rahā hai
aur ab to yuuñ hai ki jaise tum ne
pahāḌ rātoñ ko
merī andhī ujaaḌ āñkhoñ meñ
reza reza basā diyā hai
ki jaise maiñ ne
figār-dil kā hunar-asāsa
kahīñ chhupā kar bhulā diyā hai
aur ab to yuuñ hai ki
apnī āñkhoñ pe haath rakh kar
mire badan par saje hue ābloñ se bahtā lahū na dekho
mujhe kabhī surḳh-rū na dekho
na merī yādoñ ke jalte-bujhte nishāñ kuredo
na mere maqtal kī ḳhaak dekho
aur ab to yuuñ hai ki
apnī āñkhoñ ke ḳhvāb
apne darīda-dāman ke chaak dekho
ki gard-e-ehsās chhaT chukī hai
ki shāḳh-e-mahtāb kaT chukī hai
bahut dinon se
wo shaKH-e-mahtab kaT chuki hai
ki jis pe tum ne giraft-e-wada ki reshmi shaal ke sitare saja diye the
bahut dinon se
wo gard-e-ehsas chhaT chuki hai
ki jis ke zarron pe tum ne
palkon ki jhaalron ke tamam nilam luTa diye the
aur ab to yun hai ki jaise
lab-basta hijraton ka har ek lamha
tawil sadiyon ko oDh kar sans le raha hai
aur ab to yun hai ki jaise tum ne
pahaD raaton ko
meri andhi ujaD aankhon mein
reza reza basa diya hai
ki jaise main ne
figar-dil ka hunar-asasa
kahin chhupa kar bhula diya hai
aur ab to yun hai ki
apni aankhon pe hath rakh kar
mere badan par saje hue aablon se bahta lahu na dekho
mujhe kabhi surKH-ru na dekho
na meri yaadon ke jalte-bujhte nishan kuredo
na mere maqtal ki KHak dekho
aur ab to yun hai ki
apni aankhon ke KHwab
apne darida-daman ke chaak dekho
ki gard-e-ehsas chhaT chuki hai
ki shaKH-e-mahtab kaT chuki hai
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 690)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.