wo shaKHs
dekhne meñ gulāb thā vo shaḳhs
rū-kash-e-āftāb thā vo shaḳhs
ḳhud-nigar ḳhud-numā ḳhudā jaisā
tantana thā itaab thā vo shaḳhs
dil meñ kuchh thā zabān par kuchh thā
phir bhī kyā kāmyāb thā vo shaḳhs
be-talab thī kabhī atā us kī
be-sabab kā itaab thā vo shaḳhs
gaah sanjīda gaah ḳhandīda
ek muamma janāb thā vo shaḳhs
aap apnī misāl thā goyā
aap apnā javāb thā vo shaḳhs
chaal mastāna aañkh mai-ḳhāna
mai-kade kā shabāb thā vo shaḳhs
fitna-gar thā magar ba-faiz-e-zabāñ
na.ara-e-inqilāb thā vo shaḳhs
roġhan-e-qāz thā bahut arzāñ
baḳhshish-e-be-hisāb thā vo shaḳhs
mushta.il jaise ātish-e-sozāñ
aur kabhī jū-e-āb thā vo shaḳhs
us meñ sīmāb jaise pinhāñ thā
mustaqil iztirāb thā vo shaḳhs
phir huā yuuñ ki jazr-o-mad ke sabab
nazr-e-tūfān-e-āb thā vo shaḳhs
bijliyoñ kā shabāb thā vo shaḳhs
rū-kash-e-āftāb thā vo shaḳhs
us ko dekho to dekhte rah jaao
ḳhūb-rū be-hisāb thā vo shaḳhs
dīdanī thī shaguftagī us kī
ik mahaktā gulāb thā vo shaḳhs
naġhma-e-jāñ thī har sadā us kī
jaise tār-e-rabāb thā vo shaḳhs
mañba-e-nūr the lab-o-ruḳhsār
chāñd sūraj kā baab thā vo shaḳhs
aa.ina thā vo zaat kā apnī
aap apnā javāb thā vo shaḳhs
mere paimāna-e-mohabbat meñ
zindagī kī sharāb thā vo shaḳhs
nīchī nazreñ jhukī huī palkeñ
ik sarāpā hijāb thā vo shaḳhs
lafz milte nahīñ sarāpā ko
kis qadar lā-javāb thā vo shaḳhs
ik zamāne ke baad kal dekhā
phir bhī khiltā gulāb thā vo shaḳhs
dekhne mein gulab tha wo shaKHs
ru-kash-e-aftab tha wo shaKHs
KHud-nigar KHud-numa KHuda jaisa
tantana tha itab tha wo shaKHs
dil mein kuchh tha zaban par kuchh tha
phir bhi kya kaamyab tha wo shaKHs
be-talab thi kabhi ata us ki
be-sabab ka itab tha wo shaKHs
gah sanjida gah KHandida
ek muamma janab tha wo shaKHs
aap apni misal tha goya
aap apna jawab tha wo shaKHs
chaal mastana aankh mai-KHana
mai-kade ka shabab tha wo shaKHs
fitna-gar tha magar ba-faiz-e-zaban
nara-e-inqilab tha wo shaKHs
roghan-e-qaz tha bahut arzan
baKHshish-e-be-hisab tha wo shaKHs
mushtail jaise aatish-e-sozan
aur kabhi ju-e-ab tha wo shaKHs
us mein simab jaise pinhan tha
mustaqil iztirab tha wo shaKHs
phir hua yun ki jazr-o-mad ke sabab
nazr-e-tufan-e-ab tha wo shaKHs
bijliyon ka shabab tha wo shaKHs
ru-kash-e-aftab tha wo shaKHs
us ko dekho to dekhte rah jao
KHub-ru be-hisab tha wo shaKHs
didani thi shaguftagi us ki
ek mahakta gulab tha wo shaKHs
naghma-e-jaan thi har sada us ki
jaise tar-e-rabab tha wo shaKHs
manba-e-nur the lab-o-ruKHsar
chand suraj ka bab tha wo shaKHs
aaina tha wo zat ka apni
aap apna jawab tha wo shaKHs
mere paimana-e-mohabbat mein
zindagi ki sharab tha wo shaKHs
nichi nazren jhuki hui palken
ek sarapa hijab tha wo shaKHs
lafz milte nahin sarapa ko
kis qadar la-jawab tha wo shaKHs
ek zamane ke baad kal dekha
phir bhi khilta gulab tha wo shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.