wo zinda hai
gulābī daur meñ
vo apne fan kā shāhzāda thā
fazā-e-āriz-o-chashm-o-lab-o-gesū kā shaidā.ī
vo uryāñ
nīm-uryāñ jism kī qaus-e-quzah
un kā ta.assur
un kī bijlī
apnī tasvīroñ meñ bhartā thā
hasīnoñ ke diloñ meñ vo thā
ḳhud bhī un pe martā thā
use us daur meñ
izzat milī
daulat milī lekin
dil-e-rūmān-parvar meñ
koī sho.ala sā bhī mahsūs kartā thaa!
2
musavvir hī ke naate
us kā ''shash-pahlū'' tasavvur
ek sho.ala thā
ki jis ne fan kā vo pichhlā tasavvur ḳhaak kar Daalā
vo tasvīroñ meñ
tajrīdī tasavvur zindagānī kā
baḌī ḳhūbī se bhartā thā
dikhā.ī dene vaalā ik nayā sañgīt detā thā
3
vo janib-dār thā
aur saaf kahtā thā
ki jab insāniyat
tahzīb
aur ālā-tarīn qadreñ
ghirī hoñ saḳht ḳhatroñ meñ
to ik fankār par bhī ye batānā farz hotā hai
ki vo kis kī taraf hai
fan kā us se kyā taqāzā hai
4
''pikāso'' mar gayā
ye sog hai lekin
''pikāso'' ab bhī zinda hai
vo apne shah-kāroñ meñ
usī andāz se khoyā huā hai
aur kahtā hai:
maiñ zinda huuñ
diloñ ke dard ko
bechainiyoñ ko
iztiraاbiyoñ
aur aahoñ ko
kahīñ ik ''manzil-e-zinda'' se pahle maut aatī hai
gulabi daur mein
wo apne fan ka shahzada tha
faza-e-ariz-o-chashm-o-lab-o-gesu ka shaidai
wo uryan
nim-uryan jism ki qaus-e-quzah
un ka tassur
un ki bijli
apni taswiron mein bharta tha
hasinon ke dilon mein wo tha
KHud bhi un pe marta tha
use us daur mein
izzat mili
daulat mili lekin
dil-e-ruman-parwar mein
koi shoala sa bhi mahsus karta tha!
2
musawwir hi ke nate
us ka shash-pahlu tasawwur
ek shoala tha
ki jis ne fan ka wo pichhla tasawwur KHak kar Dala
wo taswiron mein
tajridi tasawwur zindagani ka
baDi KHubi se bharta tha
dikhai dene wala ek naya sangit deta tha
3
wo janib-dar tha
aur saf kahta tha
ki jab insaniyat
tahzib
aur aala-tarin qadren
ghiri hon saKHt KHatron mein
to ek fankar par bhi ye batana farz hota hai
ki wo kis ki taraf hai
fan ka us se kya taqaza hai
4
pikaso mar gaya
ye sog hai lekin
pikaso ab bhi zinda hai
wo apne shah-karon mein
usi andaz se khoya hua hai
aur kahta hai:
main zinda hun
dilon ke dard ko
bechainiyon ko
iztiraاbiyon
aur aahon ko
kahin ek manzil-e-zinda se pahle maut aati hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.