woTon ke gadagar
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
māñgte haiñ bhiik kaise giḌgiḌā kar dekho
phir na dekhoge inheñ pāñch baras yaaro
in kī sūrat ko bhī jāoge taras yaaro
aaj jī bhar ke karo in ke daras yaaro
aaj paas aa ke nazar in se milā kar dekho
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
ab to kahte haiñ ki paanī bhī bhareñge ye
jo na ab tak kar sake vo ab kareñge ye
ab na vā'de se kabhī apne phireñge ye
kahte haiñ ik baar phir se aazmā kar dekho
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
in meñ shāmil haiñ bure bhī aur change bhī
kuchh sharāfat ke haiñ putle kuchh lafange bhī
chand ik ne to karā.e hoñge dange bhī
sab ke sab kaise khaḌe haiñ sar jhukā kar dekho
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
in meñ rahzan bhī chhupe haiñ rāhbar bhī haiñ
jāhil-o-an-paḌh bhī haiñ ahl-e-nazar bhī haiñ
machhliyāñ chhoTī baḌī moTe magar bhī haiñ
in ke mukhḌoñ se mukhoToñ ko haTā kar dekho
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
phir vahī vā'de purāne phir vahī nā’re
phir ye dā’vā toḌ kar le ā.eñge taare
phir bahak jā.eñge muflis bhuuk ke maare
phir se ḳhānā hai tumheñ dhokā to khā kar dekho
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
de rahe ho apnī qismat jin ke hāthoñ meñ
kitnā sach hai jāñch to lo un kī bātoñ meñ
kaun nek insān hai in pāñch sātoñ meñ
Thoñk kar achchhe se achchhe se bajā kar dekho
dar pe aa.e haiñ jī voToñ ke gadāgar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
mangte hain bhik kaise giDgiDa kar dekho
phir na dekhoge inhen panch baras yaro
in ki surat ko bhi jaoge taras yaro
aaj ji bhar ke karo in ke daras yaro
aaj pas aa ke nazar in se mila kar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
ab to kahte hain ki pani bhi bharenge ye
jo na ab tak kar sake wo ab karenge ye
ab na wa'de se kabhi apne phirenge ye
kahte hain ek bar phir se aazma kar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
in mein shamil hain bure bhi aur change bhi
kuchh sharafat ke hain putle kuchh lafange bhi
chand ek ne to karae honge dange bhi
sab ke sab kaise khaDe hain sar jhuka kar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
in mein rahzan bhi chhupe hain rahbar bhi hain
jahil-o-an-paDh bhi hain ahl-e-nazar bhi hain
machhliyan chhoTi baDi moTe magar bhi hain
in ke mukhDon se mukhoTon ko haTa kar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
phir wahi wa'de purane phir wahi na’re
phir ye da’wa toD kar le aaenge tare
phir bahak jaenge muflis bhuk ke mare
phir se KHana hai tumhein dhoka to kha kar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
de rahe ho apni qismat jin ke hathon mein
kitna sach hai jaanch to lo un ki baaton mein
kaun nek insan hai in panch saton mein
Thonk kar achchhe se achchhe se baja kar dekho
dar pe aae hain ji woTon ke gadagar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.