bādal ke pardoñ se
tahdār kuhroñ meñ Duubā huā
nuur lipTā huā
sub.h kī avvalīñ dūdhiyā chhāñv meñ ik jhalak
āsmānoñ kī vus.at kī
rim-jhim Tapaktī huī
jhiil kī pur-sukūñ sat.h par tairtī
yuuñ lagā jaise merī pahuñch meñ yahīñ aa ga.ī
sat.h-e-jāñ se uThī ye duā
us hasīñ lamha-e-sahar-āgīñ maiñ ḳhushiyoñ se bhar de
mire dil kī gahrā.iyoñ ko
to āvāz aa.ī kī dāman baḌhā
aur jab dil ko vā kar diyā maiñ ne
tab apnī kam-mā.igī pe bahut ġham huā
baadal ke pardon se
tahdar kuhron mein Duba hua
nur lipTa hua
subh ki awwalin dudhiya chhanw mein ek jhalak
aasmanon ki wusat ki
rim-jhim Tapakti hui
jhil ki pur-sukun sath par tairti
yun laga jaise meri pahunch mein yahin aa gai
sath-e-jaan se uThi ye dua
us hasin lamha-e-sahar-agin main KHushiyon se bhar de
mere dil ki gahraiyon ko
to aawaz aai ki daman baDha
aur jab dil ko wa kar diya main ne
tab apni kam-maigi pe bahut gham hua
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 21)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.