wallpaper
saath meñ donoñ kī
bas ye āḳhirī tasvīr hai
vaqt-e-ruḳhsat
āḳhirī lamhoñ kā
koī bojh le kar lauTnā
āsāñ nahīñ thā
is liye maiñ ne bhī
kuchh kuchh be-yaqīnī se hī pūchhā thā
chalo nā saath meñ tasvīr lete haiñ
guzishta vaqt kī
koī kudūrat
dil meñ le kar lauTnā
achchhā na hotā
is liye
tum ne bhī shāyad
yuuñ hī aadhe man se
khiñchvā lī thī ye tasvīr
jis meñ
haath to kāñdhoñ pe haiñ ik dūsre ke
par hamāre darmiyāñ kā fāsla
betwēn the lines
saaf likkhā dikh rahā hai
saath meñ donoñ kī
bas ye āḳhirī tasvīr hai
jo wallpaper meñ mire
ab bhī lagī hai
sath mein donon ki
bas ye aaKHiri taswir hai
waqt-e-ruKHsat
aaKHiri lamhon ka
koi bojh le kar lauTna
aasan nahin tha
is liye main ne bhi
kuchh kuchh be-yaqini se hi puchha tha
chalo na sath mein taswir lete hain
guzishta waqt ki
koi kudurat
dil mein le kar lauTna
achchha na hota
is liye
tum ne bhi shayad
yun hi aadhe man se
khinchwa li thi ye taswir
jis mein
hath to kandhon pe hain ek dusre ke
par hamare darmiyan ka fasla
between the lines
saf likkha dikh raha hai
sath mein donon ki
bas ye aaKHiri taswir hai
jo wallpaper mein mere
ab bhi lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.