ajnabi aurat
asia ke dūr-uftāda shabistānoñ meñ bhī
mere ḳhvāboñ kā koī rūmāñ nahīñ!
kaash ik dīvār-e-zulm
mere un ke darmiyāñ haa.il na ho!
ye imārāt-e-qadīm
ye ḳhayābāñ, ye chaman, ye lāla-zār,
chāñdnī meñ nauha-ḳhvāñ
ajnabī ke dast-e-ġhārat-gar se haiñ
zindagī ke in nihāñ-ḳhānoñ meñ bhī
mere ḳhvāboñ kā koī rūmāñ nahīñ!
kaash ik ''dīvār-e-rañg''
mere un ke darmiyāñ haa.el na ho!
ye siyah-paikar barahna rāh-rau
ye gharoñ meñ ḳhūb-sūrat auratoñ kā zahr-e-ḳhand
ye guzargāhoñ pe dev-āsā javāñ
jin kī āñkhoñ meñ gurisna ārzuoñ kī lapak
mushta.il be-bāk mazdūroñ kā sailāb-e-azīm!
arz-e-mashriq, ek mub.ham ḳhauf se larzāñ huuñ maiñ
aaj ham ko jin tamannāoñ kī hurmat ke sabab
dushmanoñ kā sāmnā maġhrib ke maidānoñ meñ hai
un kā mashriq meñ nishāñ tak bhī nahīñ!
asia ke dur-uftada shabistanon mein bhi
mere KHwabon ka koi ruman nahin!
kash ek diwar-e-zulm
mere un ke darmiyan hail na ho!
ye imaraat-e-qadim
ye KHayaban, ye chaman, ye lala-zar,
chandni mein nauha-KHwan
ajnabi ke dast-e-ghaarat-gar se hain
zindagi ke in nihan-KHanon mein bhi
mere KHwabon ka koi ruman nahin!
kash ek diwar-e-rang
mere un ke darmiyan hael na ho!
ye siyah-paikar barahna rah-rau
ye gharon mein KHub-surat auraton ka zahr-e-KHand
ye guzargahon pe dew-asa jawan
jin ki aankhon mein gurisna aarzuon ki lapak
mushtail be-bak mazduron ka sailab-e-azim!
arz-e-mashriq, ek mubham KHauf se larzan hun main
aaj hum ko jin tamannaon ki hurmat ke sabab
dushmanon ka samna maghrib ke maidanon mein hai
un ka mashriq mein nishan tak bhi nahin!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.