aurat
duniyā ke liye tohfa-e-nāyāb hai aurat
afsāna-e-hastī kā hasīñ baab hai aurat
dekhā thā jo aadam ne vahī ḳhvāb hai aurat
be-misl hai ā.īna-e-ādāb hai aurat
qaa.em usī aurat se mohabbat kī fazā hai
aurat kī atā asal meñ ehsān-e-ḳhudā hai
hai maañ to dil-o-jāñ se luTātī hai sadā pyaar
mamtā ke liye phirtī hai daulat sar-e-bāzār
āsān banātī hai duā se rah-e-dushvār
apne ġham-o-ālām kā kartī nahīñ iz.hār
qadmoñ meñ liye rahtī hai jannat kā ḳhazāna
aurat ke tasavvur meñ hai ta.amīr-e-zamāna
biivī hai to ġham-ḳhvār hai paikar hai vafā kā
āñchal ko banā letī hai fānūs hayā kā
ruḳh dekh ke rakhtī hai qadam apnā havā kā
girvīda banātī hai tabassum kī adā kā
ḳhvāb-e-nigah-e-ishq kī ta.abīr hai aurat
mardoñ ke liye husn kī zanjīr hai aurat
hai shakl meñ beTī kī bahār-e-sahr-o-shām
qudrat kā atiya hai ye qudrat kā hai in.aam
detī hai masarrat kā dil-e-zār ko paiġhām
hai ruuh ko taskīn jigar kā hai ye ārām
duḳhtar hai to anmol guhar kahte haiñ us ko
allāh kī rahmat kā samar kahte haiñ is ko
sūrat meñ bahan kī hai chaman kā ye hasīñ phuul
īsār-o-mohabbat hai shab-o-roz kā ma.amūl
be-kār kī ranjish ko kabhī detī nahīñ tuul
ehsās-e-muravvat meñ rahā kartī hai mashġhūl
likhī hai har ik rañg meñ aurat kī kahānī
kahte haiñ use azmat-e-insāñ kī nishānī
mariyam hai to pākīza-o-shaffaf haiñ a.amāl
ban jaa.e zuleḳhā to hayā ko kare pāmāl
gar hai cleopatra to siyāsat kī chale chaal
lailā hai to kartī hai ye dīvāna-o-bad-hāl
Dhal jaanā har ik ruup meñ āsān hai us ko
badle hue hālāt kī pahchān hai us ko
'hinda' hai to sālārī kā dikhlātī hai jauhar
hai 'rābi.a-basrī' to ye valiyoñ kī hai ham-sar
baiThī hai agar husn kā bāzār sajā kar
ġhairat ko banātī hai asīr-e-havas-e-zar
vāqif hai bahar-taur ye jiine ke hunar se
be-ḳhauf guzar jaatī hai har rāhguzar se
ik pal meñ ye sho.ala hai to ik pal meñ hai shabnam
ya.anī hai kabhī gul to kabhī ḳhār-e-mujassam
ho sabr pe āmāda to sah jaa.e har ik ġham
ho jaa.e muḳhālif to palaT de saf-e-ālam
pāband-e-vafā ho to dil-o-jān luTā de
aa jaa.e baġhāvat pe to duniyā ko hilā de
duniya ke liye tohfa-e-nayab hai aurat
afsana-e-hasti ka hasin bab hai aurat
dekha tha jo aadam ne wahi KHwab hai aurat
be-misl hai aaina-e-adab hai aurat
qaem usi aurat se mohabbat ki faza hai
aurat ki ata asal mein ehsan-e-KHuda hai
hai man to dil-o-jaan se luTati hai sada pyar
mamta ke liye phirti hai daulat sar-e-bazar
aasan banati hai dua se rah-e-dushwar
apne gham-o-alam ka karti nahin izhaar
qadmon mein liye rahti hai jannat ka KHazana
aurat ke tasawwur mein hai tamir-e-zamana
biwi hai to gham-KHwar hai paikar hai wafa ka
aanchal ko bana leti hai fanus haya ka
ruKH dekh ke rakhti hai qadam apna hawa ka
girwida banati hai tabassum ki ada ka
KHwab-e-nigah-e-ishq ki tabir hai aurat
mardon ke liye husn ki zanjir hai aurat
hai shakl mein beTi ki bahaar-e-sahr-o-sham
qudrat ka atiya hai ye qudrat ka hai inam
deti hai masarrat ka dil-e-zar ko paigham
hai ruh ko taskin jigar ka hai ye aaram
duKHtar hai to anmol guhar kahte hain us ko
allah ki rahmat ka samar kahte hain is ko
surat mein bahan ki hai chaman ka ye hasin phul
isar-o-mohabbat hai shab-o-roz ka mamul
be-kar ki ranjish ko kabhi deti nahin tul
ehsas-e-murawwat mein raha karti hai mashghul
likhi hai har ek rang mein aurat ki kahani
kahte hain use azmat-e-insan ki nishani
mariyam hai to pakiza-o-shaffaf hain aamal
ban jae zuleKHa to haya ko kare pamal
gar hai cleopatra to siyasat ki chale chaal
laila hai to karti hai ye diwana-o-bad-haal
Dhal jaana har ek rup mein aasan hai us ko
badle hue haalat ki pahchan hai us ko
'hinda' hai to salari ka dikhlati hai jauhar
hai 'rabia-basri' to ye waliyon ki hai ham-sar
baiThi hai agar husn ka bazar saja kar
ghairat ko banati hai asir-e-hawas-e-zar
waqif hai bahar-taur ye jine ke hunar se
be-KHauf guzar jati hai har rahguzar se
ek pal mein ye shoala hai to ek pal mein hai shabnam
yani hai kabhi gul to kabhi KHar-e-mujassam
ho sabr pe aamada to sah jae har ek gham
ho jae muKHalif to palaT de saf-e-alam
paband-e-wafa ho to dil-o-jaan luTa de
aa jae baghawat pe to duniya ko hila de
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 62)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.