aurat
tum mirī āvāz dabā nahīñ sakte
mire likkhe hue alfāz miTā nahīñ sakte
nahīñ rakh sakte mujhe pāband-e-salāsil
tum mirī āvāz dabā nahīñ sakoge
nāḳhun-e-shauq se rozāna kuredūñgī
maiñ ek na.ī dīvār
tāktā parvāz se musaḳhḳhar karūñgī
na.e jahān
par kaaT kar mire
pinjre meñ muqayyad nahīñ kar sakte tum
ḳhvāb noch kar mirī āñkheñ tasḳhīr nahīñ kar sakte tum
aurat huuñ maiñ
sāhab-e-aql-o-faham huuñ
bahtā huā paanī huuñ
har sadī kī maiñ hī kahānī huuñ
tum meri aawaz daba nahin sakte
mere likkhe hue alfaz miTa nahin sakte
nahin rakh sakte mujhe paband-e-salasil
tum meri aawaz daba nahin sakoge
naKHun-e-shauq se rozana kuredungi
main ek nai diwar
takta parwaz se musaKHKHar karungi
nae jahan
par kaT kar mere
pinjre mein muqayyad nahin kar sakte tum
KHwab noch kar meri aankhen tasKHir nahin kar sakte tum
aurat hun main
sahab-e-aql-o-faham hun
bahta hua pani hun
har sadi ki main hi kahani hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.