log aurat ko faqat jism samajh lete hain
log aurat ko faqat jism samajh lete haiñ
ruuh bhī hotī hai us meñ ye kahāñ sochte haiñ
ruuh kyā hotī hai is se unheñ matlab hī nahīñ
vo to bas tan ke taqāzoñ kā kahā mānte haiñ
ruuh mar jaatī hai to jism hai chaltī huī laash
is haqīqat ko samajhte haiñ na pahchānte haiñ
kitnī sadiyoñ se ye vahshat kā chalan jaarī hai
kitnī sadiyoñ se hai qaa.em ye gunāhoñ kā rivāj
log aurat kī har ik chīḳh ko naġhma samjhe
vo qabīloñ kā zamāna ho ki shahroñ kā rivāj
jabr se nasl baḌhe zulm se tan mel kareñ
ye amal ham meñ hai be-ilm parindoñ meñ nahīñ
ham jo insānoñ kī tahzīb liye phirte haiñ
ham sā vahshī koī jangal ke darindoñ meñ nahīñ
ik bujhī ruuh luTe jism ke Dhāñche meñ liye
sochtī huuñ maiñ kahāñ jā ke muqaddar phoḌūñ
maiñ na zinda huuñ ki marne kā sahārā DhūñDūñ
aur na murda huuñ ki jiine ke ġhamoñ se chhūTūñ
kaun batlā.egā mujh ko kise jā kar pūchhūñ
zindagī qahr ke sāñchoñ meñ Dhalegī kab tak
kab talak aañkh na kholegā zamāne kā zamīr
zulm aur jabr kī ye riit chalegī kab tak
log aurat ko faqat jism samajh lete hain
ruh bhi hoti hai us mein ye kahan sochte hain
ruh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin
wo to bas tan ke taqazon ka kaha mante hain
ruh mar jati hai to jism hai chalti hui lash
is haqiqat ko samajhte hain na pahchante hain
kitni sadiyon se ye wahshat ka chalan jari hai
kitni sadiyon se hai qaem ye gunahon ka riwaj
log aurat ki har ek chiKH ko naghma samjhe
wo qabilon ka zamana ho ki shahron ka riwaj
jabr se nasl baDhe zulm se tan mel karen
ye amal hum mein hai be-ilm parindon mein nahin
hum jo insanon ki tahzib liye phirte hain
hum sa wahshi koi jangal ke darindon mein nahin
ek bujhi ruh luTe jism ke Dhanche mein liye
sochti hun main kahan ja ke muqaddar phoDun
main na zinda hun ki marne ka sahaara DhunDun
aur na murda hun ki jine ke ghamon se chhuTun
kaun batlaega mujh ko kise ja kar puchhun
zindagi qahr ke sanchon mein Dhalegi kab tak
kab talak aankh na kholega zamane ka zamir
zulm aur jabr ki ye rit chalegi kab tak
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 447)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.