mard---aurat
kab kahāñ se chalī thī pata nahīñ
jannat ne Thukrāyā
ki aadam ne pukārā
chāroñ or ghanā jañgal
har shāḳh haath baḌhāte hī
ḳhud meñ simaT jaatī thī
jaane kab be-satr huī
kis ne sharm-gāh kī laaj rakhī
paañv ke nīche an-ginat rāheñ
be-hisāb nasheb o farāz
donoñ taraf savāl o javāb kī aTuuT ḳhvāhisheñ
ilzāmāt ke tabādale kī tayyāriyāñ
barsaha-baras kī khoj kā bas ek hī anjām
faa.el maf.ūl
qudarat fitrat
isbāt nafī
kab kahan se chali thi pata nahin
jannat ne Thukraya
ki aadam ne pukara
chaaron or ghana jangal
har shaKH hath baDhate hi
KHud mein simaT jati thi
jaane kab be-satr hui
kis ne sharm-gah ki laj rakhi
panw ke niche an-ginat rahen
be-hisab nasheb o faraaz
donon taraf sawal o jawab ki aTuT KHwahishen
ilzamat ke tabaadale ki tayyariyan
barsaha-baras ki khoj ka bas ek hi anjam
fael maful
qudarat fitrat
isbaat nafi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.