yaad aa gae bachche
kis se pūchhiye jā kar kyoñ bigaḌ ga.e bachche
ātishīñ khilaunoñ se khelne lage bachche
kuchh na.e taqāze haiñ is na.e zamāne ke
ab kahāñ machalte haiñ chāñd ke liye bachche
kho ga.e ta.assub ke be-karāñ añdheroñ meñ
shahr kī fazāoñ meñ mere gaañv ke bachche
do-ghaḌī laḌā.ī hai phir vahī safā.ī hai
ham baḌoñ se achchhe haiñ be-shu.ūr se bachche
ik qadam bhī phir aage maiñ na chal sakā 'shāhid'
jab kaḌī masāfat meñ yaad aa ga.e bachche
kis se puchhiye ja kar kyon bigaD gae bachche
aatishin khilaunon se khelne lage bachche
kuchh nae taqaze hain is nae zamane ke
ab kahan machalte hain chand ke liye bachche
kho gae tassub ke be-karan andheron mein
shahr ki fazaon mein mere ganw ke bachche
do-ghaDi laDai hai phir wahi safai hai
hum baDon se achchhe hain be-shuur se bachche
ek qadam bhi phir aage main na chal saka 'shahid'
jab kaDi masafat mein yaad aa gae bachche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.