yaad
aaj phir yaad tirī aa.ī hai
mere pazhmurda siyah-ḳhāne ko
raushan karne
ek lamhātī kiran
shaad karegī mujh ko
yā ki karegī nāshād
talḳhiyāñ hoñ jo musalsal
to bahal jaatā huuñ
varna yaḳh-basta savālāt meñ ghir jaatā huuñ
aaj phir yaad tirī aa.ī hai
aaj phir yaad teri aai hai
mere pazhmurda siyah-KHane ko
raushan karne
ek lamhati kiran
shad karegi mujh ko
ya ki karegi nashad
talKHiyan hon jo musalsal
to bahal jata hun
warna yaKH-basta sawalat mein ghir jata hun
aaj phir yaad teri aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.