yaad
ab bhī darvāza roz khultā hai
rāsta merā tak rahā hai koī
mere ghar ke udaas manzar par
koī shai ab bhī muskurātī hai
merī maañ ke safed āñchal kī
ThanDī ThanDī havā.eñ rotī haiñ
fāsla aur kitnī tanhā.ī
aaj kaTtī nahīñ haiñ ye rāteñ
āsmāñ mujh pe tanz kartā hai
chāñd tāroñ meñ hotī haiñ bāteñ
ai vatan tere murġh-zāroñ meñ
mere bachpan ke ḳhvāb raqsāñ haiñ
mujh se chhuT kar bhī vādiyāñ terī
kyā usī tarah se ġhazal-ḳhvāñ haiñ
ab bhi darwaza roz khulta hai
rasta mera tak raha hai koi
mere ghar ke udas manzar par
koi shai ab bhi muskuraati hai
meri man ke safed aanchal ki
ThanDi ThanDi hawaen roti hain
fasla aur kitni tanhai
aaj kaTti nahin hain ye raaten
aasman mujh pe tanz karta hai
chand taron mein hoti hain baaten
ai watan tere murgh-zaron mein
mere bachpan ke KHwab raqsan hain
mujh se chhuT kar bhi wadiyan teri
kya usi tarah se ghazal-KHwan hain
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 155)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.