yaad aur mohabbat
maiñ apne aap ko bahut yaad kar rahā huuñ
kaash maiñ apne paas hotā apne saath
apne kañdhe se haath laTkā.e
ḳhud ko dilāsoñ kā ek tohfa detā
zindagī Table par mere saath baiThī
mujhe dekh kar muskurā rahī hai
vo mujh se bhī ek adad muskurāhaT
kī ḳhvāhish rakhtī hai
lekin shāyad vo nahīñ jāntī
muskurāhaT aur maiñ do baras pahle
alag ho chuke haiñ
ab maiñ apnī purānī tasvīroñ se
nafrat kartā huuñ kyoñ ki
in meñ maujūd shaḳhs muskurā rahā hai
zehn par zor dene se bhī vo vajah
yaad nahīñ aatī jo mujhe
maazī meñ muskurāhaT se navāztī thī
haañ itnā yaad hai ki vo mohabbat nahīñ thī
tum jānte ho mohabbat kyā hai
mohabbat ek joḌe kī pahlī aulād hai
jo parvān chaḌhte hī apnoñ ke
kiye ehsān bhuul jaatī hai
mohabbat glacier hai jo thoḌī sī
garmī se pighal jaatā hai
mohabbat ek beva kī udāsī hai
mohabbat bāñjh aurat kī
aulād kī ḳhvāhish hai
vīrāne meñ apne gaal par bosa
denā mohabbat hai
mohabbat banjar chehre par muskurāhaT kī
fasl ugne kī ḳhvāhish hai
magar merā mohabbat muskurāhaT
aur ḳhvāhishoñ se koī ta'alluq nahīñ
maiñ ḳhud ko DhūñD rahā huuñ
maiñ do baras pahle mohabbat naamī
ek doshīza ke hamrāh gum gayā thā
maiñ aaj bhī ḳhud ko bahut yaad kartā huuñ
main apne aap ko bahut yaad kar raha hun
kash main apne pas hota apne sath
apne kandhe se hath laTkae
KHud ko dilason ka ek tohfa deta
zindagi Table par mere sath baiThi
mujhe dekh kar muskura rahi hai
wo mujh se bhi ek adad muskurahaT
ki KHwahish rakhti hai
lekin shayad wo nahin jaanti
muskurahaT aur main do baras pahle
alag ho chuke hain
ab main apni purani taswiron se
nafrat karta hun kyon ki
in mein maujud shaKHs muskura raha hai
zehn par zor dene se bhi wo wajah
yaad nahin aati jo mujhe
mazi mein muskurahaT se nawazti thi
han itna yaad hai ki wo mohabbat nahin thi
tum jaante ho mohabbat kya hai
mohabbat ek joDe ki pahli aulad hai
jo parwan chaDhte hi apnon ke
kiye ehsan bhul jati hai
mohabbat glacier hai jo thoDi si
garmi se pighal jata hai
mohabbat ek bewa ki udasi hai
mohabbat banjh aurat ki
aulad ki KHwahish hai
virane mein apne gal par bosa
dena mohabbat hai
mohabbat banjar chehre par muskurahaT ki
fasl ugne ki KHwahish hai
magar mera mohabbat muskurahaT
aur KHwahishon se koi ta'alluq nahin
main KHud ko DhunD raha hun
main do baras pahle mohabbat nami
ek doshiza ke hamrah gum gaya tha
main aaj bhi KHud ko bahut yaad karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.