yaad
dil-e-māyūs meñ hai terī yaad
jaise vīrāna meñ ho ganj-e-nihāñ
jaise māyūsiyoñ kī zulmat meñ
ik shuā-e-umīd ho larzāñ
jaise ḳhāmoshiyoñ meñ sahrā kī
ho sadā-e-ḳhirām-e-jū-e-ravāñ
jaise aarif ke dil meñ nūr-e-ḳhudā
jaise āshiq ke siine meñ armāñ
jaise bīmār ko naved-e-masīh
jaise hātim ko muzhda-e-mehmāñ
jaise nāzuk sī ek kashtī ho
darmiyān-e-kashākash-e-tūfāñ
jaise TuuTe hue khañDar meñ hoñ
baaqī pichhlī imāratoñ ke nishāñ
hoñ chaman meñ bache hue jaise
mausam-e-gul ke kuchh gul o raihāñ
jaise chingārī zer-e-ḳhākistar
jaise ik sho.ala-e-tah-e-dāmāñ
hai tirī yaad zindagī merī
is ko de kar na luuñ maiñ bāġh-e-jināñ
kabhī zāhir hai dil kī dhaḌkan se
kabhī zabt-e-fuġhāñ meñ hai pinhāñ
dard ban kar kabhī hai dil meñ muqīm
kabhī āñkhoñ se ashk ban ke ravāñ
hoñ ġharaz terī yaad se ai dost
hashr-bar-dosh ḳhuld dar-dāmāñ
dil-e-mayus mein hai teri yaad
jaise virana mein ho ganj-e-nihan
jaise mayusiyon ki zulmat mein
ek shua-e-umid ho larzan
jaise KHamoshiyon mein sahra ki
ho sada-e-KHiram-e-ju-e-rawan
jaise aarif ke dil mein nur-e-KHuda
jaise aashiq ke sine mein arman
jaise bimar ko nawed-e-masih
jaise hatim ko muzhda-e-mehman
jaise nazuk si ek kashti ho
darmiyan-e-kashakash-e-tufan
jaise TuTe hue khanDar mein hon
baqi pichhli imaraton ke nishan
hon chaman mein bache hue jaise
mausam-e-gul ke kuchh gul o raihan
jaise chingari zer-e-KHakistar
jaise ek shoala-e-tah-e-daman
hai teri yaad zindagi meri
is ko de kar na lun main bagh-e-jinan
kabhi zahir hai dil ki dhaDkan se
kabhi zabt-e-fughan mein hai pinhan
dard ban kar kabhi hai dil mein muqim
kabhi aankhon se ashk ban ke rawan
hon gharaz teri yaad se ai dost
hashr-bar-dosh KHuld dar-daman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.