yaad-e-haali
Interesting Fact
The centenary celebrations in Panipat commemorated Maulana Khawaja Altaf Hussain Hali
panipat meñ hai jashn-e-sad-sāla
aaj phir taaza yād-e-hālī hai
fard avval huā vatan meñ vo
shaan us kī sabhoñ se aalī hai
saltanat kho ke miT chuke the ham
mard-e-āqil ne jaan Daalī hai
dard se jis ke haiñ bhare aurāq
vo musaddas vo nazm-e-hālī hai
ḳhufta muslim ko kar diyā bedār
Dūbtī naav ko sañbhālī hai
kaayā us ne adab kī palTī hai
aur na.ī jaan is meñ Daalī hai
kaisā pur-dard hai har ik misrā
shaan is nazm kī nirālī hai
aise bandoñ pe rahmat-e-haq hai
un kā jannat maqām-e-ālī hai
naaz vājib hai us kā ai 'kubrā'
jis kī rahbar kitāb-e-hālī hai
panipat mein hai jashn-e-sad-sala
aaj phir taza yaad-e-haali hai
fard awwal hua watan mein wo
shan us ki sabhon se aali hai
saltanat kho ke miT chuke the hum
mard-e-aqil ne jaan Dali hai
dard se jis ke hain bhare auraq
wo musaddas wo nazm-e-haali hai
KHufta muslim ko kar diya bedar
Dubti naw ko sanbhaali hai
kaya us ne adab ki palTi hai
aur nai jaan is mein Dali hai
kaisa pur-dard hai har ek misra
shan is nazm ki nirali hai
aise bandon pe rahmat-e-haq hai
un ka jannat maqam-e-ali hai
naz wajib hai us ka ai 'kubra'
jis ki rahbar kitab-e-haali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.