yaad-e-mazi
tanhā.i-e-dil jab baḌhtī hai
jab yaas kī gahrī tārīkī duniyā-e-dil par chhātī hai
chupke se tirī yādoñ kī kiran
chilman ko haTā kar aatī hai
aur dil mirā bahlātī hai
tum duur huī jūñ-hī ham se
yādoñ ke shabistāñ jaag uThe
phir dil kī kalī muskā na sakī
aur giit ḳhushī ke gā na sakī
ik tum ho ham se duur kahīñ
zar-kār jharoke meñ baiThī
yādoñ ko bhulā.e jaatī ho
ik ham haiñ terī rāhoñ meñ
palkoñ ko bichhā.e baiThe haiñ
shāyad ki tirā ho jaa.e guzar
iflās ke in sahrāoñ se
duniyā ke in vīrānoñ se
tanhai-e-dil jab baDhti hai
jab yas ki gahri tariki duniya-e-dil par chhati hai
chupke se teri yaadon ki kiran
chilman ko haTa kar aati hai
aur dil mera bahlati hai
tum dur hui jun-hi hum se
yaadon ke shabistan jag uThe
phir dil ki kali muska na saki
aur git KHushi ke ga na saki
ek tum ho hum se dur kahin
zar-kar jharoke mein baiThi
yaadon ko bhulae jati ho
ek hum hain teri rahon mein
palkon ko bichhae baiThe hain
shayad ki tera ho jae guzar
iflas ke in sahraon se
duniya ke in viranon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.