yaad-e-mazi
vo 'ahd-e-guzishta kā dilkash fasāna
gayā chhūT ham se vo rangīñ zamāna
umangeñ javānī kī vo vālihāna
kisī shoḳh kā haa.e vo aanā jaanā
vo hañs hañs ke bijlī girānā kisī kā
jamāl-e-munavvar dikhānā kisī kā
vo chhup-chhup ke gulshan meñ aanā kisī kā
vo nazroñ se bijlī girānā kisī kā
bigaḌ kar vo āñkheñ dikhānā kisī kā
sharārat se mujh ko girānā kisī kā
kabhī ruuTh jaanā kabhī man bhī jaanā
kabhī muñh chiḌānā kabhī muskurānā
vo maḳhmūr āñkheñ vo husn-e-javānī
Tapaktī ho jis se mai-e-arġhavānī
vo dilkash nigāheñ vo shīrīñ-bayānī
vo lutf-e-musalsal shab-e-shādmānī
vo pur-lutf sohbat vo pur-kaif naġhme
ubalte the jis se masarrat ke chashme
vo siine se mujh ko lagānā kisī kā
sharārat se vo gudgudānā kisī kā
vo ġhusse kī sūrat banānā kisī kā
vo muñh pher kar muskurānā kisī kā
shab-e-māh meñ haa.e vo daur-e-sāġhar
vo saaqī kā rangīñ jamāl-e-munavvar
vo tirchhī nigāheñ vo rangīñ adā.eñ
ki bad-mast ho jaa.eñ jin se fazā.eñ
vo abr-e-mohabbat kī dilkash ghaTā.eñ
'zakī' ab kahāñ ahd-e-rangīñ vo paa.eñ
wo 'ahd-e-guzishta ka dilkash fasana
gaya chhuT hum se wo rangin zamana
umangen jawani ki wo walihana
kisi shoKH ka hae wo aana jaana
wo hans hans ke bijli girana kisi ka
jamal-e-munawwar dikhana kisi ka
wo chhup-chhup ke gulshan mein aana kisi ka
wo nazron se bijli girana kisi ka
bigaD kar wo aankhen dikhana kisi ka
shararat se mujh ko girana kisi ka
kabhi ruTh jaana kabhi man bhi jaana
kabhi munh chiDana kabhi muskurana
wo maKHmur aankhen wo husn-e-jawani
Tapakti ho jis se mai-e-arghawani
wo dilkash nigahen wo shirin-bayani
wo lutf-e-musalsal shab-e-shadmani
wo pur-lutf sohbat wo pur-kaif naghme
ubalte the jis se masarrat ke chashme
wo sine se mujh ko lagana kisi ka
shararat se wo gudgudana kisi ka
wo ghusse ki surat banana kisi ka
wo munh pher kar muskurana kisi ka
shab-e-mah mein hae wo daur-e-saghar
wo saqi ka rangin jamal-e-munawwar
wo tirchhi nigahen wo rangin adaen
ki bad-mast ho jaen jin se fazaen
wo abr-e-mohabbat ki dilkash ghaTaen
'zaki' ab kahan ahd-e-rangin wo paen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.