yaad-e-mazi
zindagī ke siyāh kamre meñ
biitī yādoñ ke chand jugnū haiñ
jo musalsal tasalliyāñ de kar
mujh ko samjhā rahe haiñ barsoñ se
sirf paanā hī shart ishq nahīñ
ishq to vo aziim markaz hai
jis meñ har shai se pyaar hotā hai
jis meñ khonā bhī ik ibādat hai
aur jab jab ye baat sun kar ke
maiñ zarā bhī udaas hotā huuñ
to mirī koTharī kā har konā
TikTikī sā lagā.e dekhe hai
goyā mujh se vo kah rahā ho ye
yād-e-māzī azaab hai lekin
vaqt-e-tanhā.ī yaad ke jugnū
tujh ko ye raushnā.ī dete haiñ
maslahat ye hī dar-haqīqat hai
jo bhī hai rab kī bas ināyat hai
maiñ bhī kuchh muttafiq huuñ ab un se
vaqt-e-tanhā siyāh kamre meñ
yād-e-māzī kī raushnī ke sabab
maiñ ye tanhā.ī jhel saktā huuñ
apne ashkoñ se khel saktā huuñ
aur un sab tamām bātoñ se
ab natīja yahī nikaltā hai
yād-e-māzī bhale azaab sahī
yād-e-māzī ḳhudā kī rahmat hai
zindagi ke siyah kamre mein
biti yaadon ke chand jugnu hain
jo musalsal tasalliyan de kar
mujh ko samjha rahe hain barson se
sirf pana hi shart ishq nahin
ishq to wo azim markaz hai
jis mein har shai se pyar hota hai
jis mein khona bhi ek ibaadat hai
aur jab jab ye baat sun kar ke
main zara bhi udas hota hun
to meri koThari ka har kona
TikTiki sa lagae dekhe hai
goya mujh se wo kah raha ho ye
yaad-e-mazi azab hai lekin
waqt-e-tanhai yaad ke jugnu
tujh ko ye raushnai dete hain
maslahat ye hi dar-haqiqat hai
jo bhi hai rab ki bas inayat hai
main bhi kuchh muttafiq hun ab un se
waqt-e-tanha siyah kamre mein
yaad-e-mazi ki raushni ke sabab
main ye tanhai jhel sakta hun
apne ashkon se khel sakta hun
aur un sab tamam baaton se
ab natija yahi nikalta hai
yaad-e-mazi bhale azab sahi
yaad-e-mazi KHuda ki rahmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.