yaad-e-rangin
mire mahbūb terī ulfat-e-sādiq pe nāzāñ huuñ
tire husn-e-qayāmat-ḳhez-o-rangīñ kā ġhazal-ḳhvāñ huuñ
magar is terī tarz-e-ajnabiyyat par maiñ hairāñ huuñ
tasallī de kabhī aakar mire qalb-e-pareshāñ ko
sharāb-o-sher meñ Duubī vo bāteñ yaad aatī haiñ
tirī ma.asūm sī ulfat kī ghāteñ yaad aatī haiñ
jo hañste bolte guzrīñ vo rāteñ yaad aatī haiñ
liye phirtā huuñ maiñ āñkhoñ meñ yādoñ ke gulistāñ ko
kahāñ vo din haiñ jab karte the ham bāġhāt kī saireñ
vo sāvan ke mahīne meñ bharī barsāt kī saireñ
lab-e-jū chāñdnī meñ vo suhānī raat kī saireñ
nazar ab DhūñDhtī hai tere husn-e-kaif-sāmāñ ko
in ayyām-e-mohabbat meñ maze kyā kyā nahīñ luuTe
vufūr-e-shauq meñ katre nahīñ kyā maiñ ne gul-būTe
mirā dil toḌne vaale kahīñ terā na dil TuuTe
ḳhudā ke vāste kar yaad apne ahd-o-paimāñ ko
mere mahbub teri ulfat-e-sadiq pe nazan hun
tere husn-e-qayamat-KHez-o-rangin ka ghazal-KHwan hun
magar is teri tarz-e-ajnabiyyat par main hairan hun
tasalli de kabhi aakar mere qalb-e-pareshan ko
sharab-o-sher mein Dubi wo baaten yaad aati hain
teri masum si ulfat ki ghaten yaad aati hain
jo hanste bolte guzrin wo raaten yaad aati hain
liye phirta hun main aankhon mein yaadon ke gulistan ko
kahan wo din hain jab karte the hum baghat ki sairen
wo sawan ke mahine mein bhari barsat ki sairen
lab-e-ju chandni mein wo suhani raat ki sairen
nazar ab DhunDhti hai tere husn-e-kaif-saman ko
in ayyam-e-mohabbat mein maze kya kya nahin luTe
wufur-e-shauq mein katre nahin kya main ne gul-buTe
mera dil toDne wale kahin tera na dil TuTe
KHuda ke waste kar yaad apne ahd-o-paiman ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.