yaad-faramosh
hichkiyāñ aatī haiñ dil Duub rahā hai shāyad
aaj bhūle se tumheñ yaad mirī aa.ī hai
yaad hai tum ne ik amrūd jo kachchā thā abhī
naam se mere chunā thā jis par
apne hāthoñ se siyah kapḌā bhī bāñdhā thā magar
jis kī lagnī thī nazar lag ke rahī
kyā usī peḌ ke nīche ho zarā socho to
be-samar shāḳh lachaktī hai to kyā hotā hai
hichkiyan aati hain dil Dub raha hai shayad
aaj bhule se tumhein yaad meri aai hai
yaad hai tum ne ek amrud jo kachcha tha abhi
nam se mere chuna tha jis par
apne hathon se siyah kapDa bhi bandha tha magar
jis ki lagni thi nazar lag ke rahi
kya usi peD ke niche ho zara socho to
be-samar shaKH lachakti hai to kya hota hai
- Book : Awaz Na Do (Pg. 57)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.