yaad
jañgal ke gahre saa.e
nazdīk aa rahe haiñ
vahshī parinde har sū
siiTī bajā rahe haiñ
kis moḌ par rukā huuñ
itnī ḳhabar nahīñ hai
kyā aur is ke aage
ab rah-guzar nahīñ hai
kyuuñ ḳhud ko ajnabī sā
maiñ aaj lag rahā huuñ
ik dhuñdle aa.ine se
pahchān māñgtā huuñ
duniyā se thak gayā huuñ
mahsūs ho rahā hai
har ek shai se jī ab
māyūs ho rahā hai
phir bachcha ban gayā tum
jhūlā jhulā rahī ho
yuuñ lag rahā hai jaise
lorī sunā rahī ho
bādal meñ tum ko pā kar
dāman bhigo rahā hū
be-vaj.h ye namī hai
be-bāt ro rahā huuñ
kyā lambī hichkiyoñ se
mujh ko bulā rahī ho
sach sach batāo ammāñ
kyuuñ yaad aa rahī ho
jangal ke gahre sae
nazdik aa rahe hain
wahshi parinde har su
siTi baja rahe hain
kis moD par ruka hun
itni KHabar nahin hai
kya aur is ke aage
ab rah-guzar nahin hai
kyun KHud ko ajnabi sa
main aaj lag raha hun
ek dhundle aaine se
pahchan mangta hun
duniya se thak gaya hun
mahsus ho raha hai
har ek shai se ji ab
mayus ho raha hai
phir bachcha ban gaya tum
jhula jhula rahi ho
yun lag raha hai jaise
lori suna rahi ho
baadal mein tum ko pa kar
daman bhigo raha hu
be-wajh ye nami hai
be-baat ro raha hun
kya lambi hichkiyon se
mujh ko bula rahi ho
sach sach batao amman
kyun yaad aa rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.