yaad-goi
grīshm kī dil-fareb rātrī
kyā hoḌ lagā kar khile haiñ amaltās aur madhu-māltī
rañg aur sugandh aaj Dho rahe haiñ tumhārī yādoñ kī pālkī
is saḌak se itnī baar guzrā huuñ ki aahaT ko pahchānñe lage haiñ kutte
mujhe apne itne qarīb dekh kar bhī in meñ koī harakat koī sugbugāhaT nahīñ
ġhāliban ab inheñ bhī mujh se koī tavaqqo.a koī raah nahīñ rahī
bahut saghan hai tumhārī pratikshā
merā vikalp āvārgī
grishm ki dil-fareb raatri
kya hoD laga kar khile hain amaltas aur madhu-malti
rang aur sugandh aaj Dho rahe hain tumhaari yaadon ki palki
is saDak se itni bar guzra hun ki aahaT ko pahchanne lage hain kutte
mujhe apne itne qarib dekh kar bhi in mein koi harakat koi sugbugahaT nahin
ghaaliban ab inhen bhi mujh se koi tawaqqoa koi rah nahin rahi
bahut saghan hai tumhaari pratiksha
mera wikalp aawargi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.