Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad hai

MORE BYShagufta Naim Hashmi

    yaad hai biich raah ke tum ne

    kis tarah ke mujh ko chhoḌā thā

    merī ummīd mere ḳhvāboñ ko

    kis takabbur se tum ne toḌā

    yaad hai tum ko bebasī merī

    mere aañsū vo be-kasī merī

    mujhe hai mere dil ko pata

    kis tarah se vo daur guzrā thā

    vaqt lagtā thā jaise Thahrā thā

    yaad hai

    ġham gahrī daldal se

    ḳhud ko ḳhud maiñ ne jab nikālā thā

    kitnī mushkil se dil sañbhālā thā

    yaad hai

    kitne din maiñ taḌpī thī

    kitnā roī thī kitnā siskī thī

    ab to ik umr ho ga.ī is ko

    ab to vo yaad yaad bhī na rahī

    ab to ik vāqi.a lagtā hai

    yaad ke dhuñdlakoñ meñ Duubā huā

    ek dhuñdlā saaya lagtā hai

    ab na vo maiñ na zindagī vaisī

    ab to ḳhvāboñ meñ maiñ nahīñ jiitī

    tum se ummīd bhī nahīñ rakhtī

    tum bhī ḳhvāboñ se duur rahnā

    koī ummīd mujh se mat rakhnā

    yaad hai bich rah ke tum ne

    kis tarah la ke mujh ko chhoDa tha

    meri ummid mere KHwabon ko

    kis takabbur se tum ne toDa sa

    yaad hai tum ko bebasi meri

    mere aansu wo be-kasi meri

    ya mujhe hai ya mere dil ko pata

    kis tarah se wo daur guzra tha

    waqt lagta tha jaise Thahra tha

    yaad hai

    gham ki gahri daldal se

    KHud ko KHud main ne jab nikala tha

    kitni mushkil se dil sanbhaala tha

    yaad hai

    kitne din main taDpi thi

    kitna roi thi kitna siski thi

    ab to ek umr ho gai is ko

    ab to wo yaad yaad bhi na rahi

    ab to ek waqia sa lagta hai

    yaad ke dhundlakon mein Duba hua

    ek dhundla sa saya lagta hai

    ab na wo main na zindagi waisi

    ab to KHwabon mein main nahin jiti

    tum se ummid bhi nahin rakhti

    tum bhi KHwabon se dur hi rahna

    koi ummid mujh se mat rakhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now