yaad ek daricha hai
zehn kī imārat meñ
yaad ik darīcha hai
aur is darīche ke
gird duur tak phailā
vaqt kā samundar hai
vaqt ke samundar meñ
din mahīne lahreñ haiñ
tund-o-tez lahroñ par
tairte hue lamhe
ḳhush-gulū parinde haiñ
yaad ik darīcha hai
jab kabhī akele meñ
dil udaas hotā hai
ham isī darīche se
paar jhāñk lete haiñ
vaqt ke samundar meñ
ḳhush-gavār lamhoñ kī
rañgā-rañg tasvīreñ
jān-dār lagtī haiñ
shāndār lagtī haiñ
aur zinda rahne kā
ik javāz bantī haiñ
zehn ki imarat mein
yaad ek daricha hai
aur is dariche ke
gird dur tak phaila
waqt ka samundar hai
waqt ke samundar mein
din mahine lahren hain
tund-o-tez lahron par
tairte hue lamhe
KHush-gulu parinde hain
yaad ek daricha hai
jab kabhi akele mein
dil udas hota hai
hum isi dariche se
par jhank lete hain
waqt ke samundar mein
KHush-gawar lamhon ki
ranga-rang taswiren
jaan-dar lagti hain
shandar lagti hain
aur zinda rahne ka
ek jawaz banti hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 507)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.