yaad
is ek kamre meñ jaane kitnī tumhārī yādeñ basī huī haiñ
lipaT ke mujh se ye rone lagtī haiñ yaar be-iḳhtiyār ho kar
ke maiñ bhī un ke kisī ishāre pe ro hī duuñ zār-zār ho kar
ye sab tumhārī hī sāzisheñ haiñ
ye sab tumhārā kiyā huā hai
ki phuul shabnam girā rahā hai
vo ro rahā hai kyāriyoñ meñ
vo ek kamra jahāñ pe tum ho
ye ek kamra jo khul rahā hai
phisal rahā hai ye vaqt hāthoñ se ret jaise phisal rahī ho
har ek din hai baras ke jaisā baras bhī jis meñ hazār din hoñ
guzar rahī hai ye zindagī yuuñ ye zindagī ke ḳharāb din hoñ
na yaad karne kī intihā hai jo yaad aane lagī ho ab tum
rukī thī kab tum
haqīqatan is daf'a jo tum ne lagāyā siine se ro na duuñ maiñ
ye vasvasa hai ki tum ko maiñ ne jo dil se chāhā to kho na duuñ maiñ
ye kis ne anjām likh diyā hai dil-o-mohabbat kā yaar aisā ki ḳhaar jaisā
vo kaun thā jo lagā ke baiThā thā dil kisī se
vo kaun thā jis kā dil huā zār-zār aisā
tumheñ bhulāne kī koshishoñ meñ ye āḳhirī din hai jaan yā'nī
ye āḳhirī din hai jaan yā'nī
tumheñ bhulā.ūñgā kis tarah se ye baat aakar batā bhī jaanā
na lauT aanā
jo dil kare to uThā ke tasvīr dekh lenā
jo dil kare to uThā ke tasvīr muskurānā
vo yaad karnā jo ek 'arse se bhūlnā maiñ bhī chāhtā huuñ
kisī bhī qīmat pe chāhtā huuñ bhulā duuñ tum ko
kisī bhī qīmat pe chāhtā huuñ miTā duuñ tum ko
maiñ qurbatoñ kā hasīn pannā sañjo ke rakhne kī be-ijāzat sazā duuñ tum ko
magar jo honā thā ho gayā hai
jis ek kāġhaz pe ham likhā thā vo jal gayā hai
jalā bhī aise ki kāġhazī sā bachā huā hai
magar tumheñ kuchh kisī bhī hālat na sochnā hai na lauTnā hai
na lauTne ke vo fā.ede tum yuuñ sādgī se hī likh ke laanā
agar bichhaḌnā paḌā bhī ham ko to ruḳhsatī meñ hañsī hañsī hī gale lagānā
palaT ke ab ke na dekhnā tum na muskurānā na lauT aanā
tumheñ bhulāne kī koshishoñ meñ ye āḳhirī din hai jān-e-jānāñ
ye āḳhirī din hai jān-e-jānāñ
is ek kamre mein jaane kitni tumhaari yaaden basi hui hain
lipaT ke mujh se ye rone lagti hain yar be-iKHtiyar ho kar
ke main bhi un ke kisi ishaare pe ro hi dun zar-zar ho kar
ye sab tumhaari hi sazishen hain
ye sab tumhaara kiya hua hai
ki phul shabnam gira raha hai
wo ro raha hai kyariyon mein
wo ek kamra jahan pe tum ho
ye ek kamra jo khul raha hai
phisal raha hai ye waqt hathon se ret jaise phisal rahi ho
har ek din hai baras ke jaisa baras bhi jis mein hazar din hon
guzar rahi hai ye zindagi yun ye zindagi ke KHarab din hon
na yaad karne ki intiha hai jo yaad aane lagi ho ab tum
ruki thi kab tum
haqiqatan is daf'a jo tum ne lagaya sine se ro na dun main
ye waswasa hai ki tum ko main ne jo dil se chaha to kho na dun main
ye kis ne anjam likh diya hai dil-o-mohabbat ka yar aisa ki KHar jaisa
wo kaun tha jo laga ke baiTha tha dil kisi se
wo kaun tha jis ka dil hua zar-zar aisa
tumhein bhulane ki koshishon mein ye aaKHiri din hai jaan ya'ni
ye aaKHiri din hai jaan ya'ni
tumhein bhulaunga kis tarah se ye baat aakar bata bhi jaana
na lauT aana
jo dil kare to uTha ke taswir dekh lena
jo dil kare to uTha ke taswir muskurana
wo yaad karna jo ek 'arse se bhulna main bhi chahta hun
kisi bhi qimat pe chahta hun bhula dun tum ko
kisi bhi qimat pe chahta hun miTa dun tum ko
main qurbaton ka hasin panna sanjo ke rakhne ki be-ijazat saza dun tum ko
magar jo hona tha ho gaya hai
jis ek kaghaz pe hum likha tha wo jal gaya hai
jala bhi aise ki kaghazi sa bacha hua hai
magar tumhein kuchh kisi bhi haalat na sochna hai na lauTna hai
na lauTne ke wo faede tum yun sadgi se hi likh ke lana
agar bichhaDna paDa bhi hum ko to ruKHsati mein hansi hansi hi gale lagana
palaT ke ab ke na dekhna tum na muskurana na lauT aana
tumhein bhulane ki koshishon mein ye aaKHiri din hai jaan-e-jaanan
ye aaKHiri din hai jaan-e-jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.