yaad
aa.ī jab un kī yaad to aatī chalī ga.ī
har naqsh-e-mā-sivā ko miTātī chalī ga.ī
har manzar-e-jamāl dikhātī chalī ga.ī
jaise unhīñ ko sāmne laatī chalī ga.ī
har vāqi.a qarīb-tar aatā chalā gayā
har shai hasīn-tar nazar aatī chalī ga.ī
vīrāna-e-hayāt ke ek ek goshe meñ
jogan koī sitār bajātī chalī ga.ī
dil phuñk rahā thā ātish-e-zabt-e-firāq se
dīpak ko mai-gusār banātī chalī ga.ī
be-harf o be-hikāyat o be-sāz o be-sadā
rag rag meñ naġhma ban ke samātī chalī ga.ī
jitnā hī kuchh sukūn sā aatā chalā gayā
utnā hī be-qarār banātī chalī ga.ī
kaifiyyatoñ ko hosh sā aatā chalā gayā
be-kaifiyoñ ko niiñd sī aatī chalī ga.ī
kyā kyā na husn-e-yār se shikve the ishq ko
kyā kyā na sharmsār banātī chalī ga.ī
tafrīq-e-husn-o-ishq kā jhagḌā nahīñ rahā
tam.īz-e-qurb-o-buad miTātī chalī ga.ī
maiñ tishna-kām-e-shauq thā piitā chalā gayā
vo mast añkhḌiyoñ se pilātī chalī ga.ī
ik husn-e-be-jihat kī fazā-e-basīt meñ
uḌtī ga.ī mujhe bhī uḌātī chalī ga.ī
phir maiñ huuñ aur ishq kī betābiyāñ 'jigar'
achchhā huā vo niiñd kī maatī chalī ga.ī
aai jab un ki yaad to aati chali gai
har naqsh-e-ma-siwa ko miTati chali gai
har manzar-e-jamal dikhati chali gai
jaise unhin ko samne lati chali gai
har waqia qarib-tar aata chala gaya
har shai hasin-tar nazar aati chali gai
virana-e-hayat ke ek ek goshe mein
jogan koi sitar bajati chali gai
dil phunk raha tha aatish-e-zabt-e-firaq se
dipak ko mai-gusar banati chali gai
be-harf o be-hikayat o be-saz o be-sada
rag rag mein naghma ban ke samati chali gai
jitna hi kuchh sukun sa aata chala gaya
utna hi be-qarar banati chali gai
kaifiyyaton ko hosh sa aata chala gaya
be-kaifiyon ko nind si aati chali gai
kya kya na husn-e-yar se shikwe the ishq ko
kya kya na sharmsar banati chali gai
tafriq-e-husn-o-ishq ka jhagDa nahin raha
tamiz-e-qurb-o-buad miTati chali gai
main tishna-kaam-e-shauq tha pita chala gaya
wo mast ankhDiyon se pilati chali gai
ek husn-e-be-jihat ki faza-e-basit mein
uDti gai mujhe bhi uDati chali gai
phir main hun aur ishq ki betabiyan 'jigar'
achchha hua wo nind ki mati chali gai
- Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 163)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.