yaad
kabhī kabhī koī yaad
koī bahut purānī yaad
dil ko burī tarah jhakjhortī hai
dil ke darvāze par
burī tarah dastak detī hai
jaise shaam ko koī taara niklā ho
jaise sub.h koī phuul khilā ho
jaise chāñdnī apnī kirneñ bikher rahī ho
jaise koī charāġh jalā hai abhī
jaise raushnī phailī ho har taraf
jaise rote rote koī hañs paḌā ho
jaise merī or koī haath baḌhā.e khaḌā ho
kabhī kabhī kisī ke bolne ka bharam hotā ho jaise
jaise wall par kisī ka message paḌā ho
jaise koī mere darmiyāñ khaḌā ho
kabhī kabhī koī yaad
jhakjhortī hai dil ko
kabhi kabhi koi yaad
koi bahut purani yaad
dil ko buri tarah jhakjhorti hai
dil ke darwaze par
buri tarah dastak deti hai
jaise sham ko koi tara nikla ho
jaise subh koi phul khila ho
jaise chandni apni kirnen bikher rahi ho
jaise koi charagh jala hai abhi
jaise raushni phaili ho har taraf
jaise rote rote koi hans paDa ho
jaise meri or koi hath baDhae khaDa ho
kabhi kabhi kisi ke bolne ka bharam hota ho jaise
jaise wall par kisi ka message paDa ho
jaise koi mere darmiyan khaDa ho
kabhi kabhi koi yaad
jhakjhorti hai dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.