yaad
merī mahbūb tujhe
yaad bhī haiñ vo lamhe
vo shab-e-vasl
ki jab ḳhvāb sañvar aa.e the
ism-e-āzam kī tarah
vird-e-zabāñ thā koī
jaise aabid ho musalle pe zabāñ khole hue
ḳhāmushī aisī ki jug biit ga.e bole hue
ek ne ek ko paiġhām diyā ho jaise
ek ne ek se paiġhām liyā ho jaise
vajd kī niiñd meñ kuchh der talak so.e bhī the
raqs kī nuqra.ī jhankār meñ yuuñ kho.e bhī the
ham charāġhoñ kī tarah sub.h talak jalte rahe
haath meñ haath liye duur talak chalte rahe
merī mahbūb
tujhe yaad bhī haiñ vo lamhe
vo shab-e-vasl ki jab ḳhvāb sañvar aa.e the
ab na sarshārī-e-'hāfiz' hai na 'ġhālib' kī ġhazal
fikr-e-'sādī' kī umañgeñ haiñ na 'ḳhayyām' kā taur
rajnigandha kī kahānī ko sabhī bhuul ga.e
yaad shīrīñ kā zamāna hai na farhād kā daur
TimTimāte hue ākāsh ke tāroñ kī tarah
TuuT ke maiñ bhī kisī roz bikhar jā.ūñgā
merī mahbūb terī paak mohabbat kī qasam
husn-e-yūsuf kī qasam apnī sadāqat kī qasam
zindagī zaḳhm hai iisā kī nubuvvat kī qasam
meri mahbub tujhe
yaad bhi hain wo lamhe
wo shab-e-wasl
ki jab KHwab sanwar aae the
ism-e-azam ki tarah
wird-e-zaban tha koi
jaise aabid ho musalle pe zaban khole hue
KHamushi aisi ki jug bit gae bole hue
ek ne ek ko paigham diya ho jaise
ek ne ek se paigham liya ho jaise
wajd ki nind mein kuchh der talak soe bhi the
raqs ki nuqrai jhankar mein yun khoe bhi the
hum charaghon ki tarah subh talak jalte rahe
hath mein hath liye dur talak chalte rahe
meri mahbub
tujhe yaad bhi hain wo lamhe
wo shab-e-wasl ki jab KHwab sanwar aae the
ab na sarshaari-e-'hafiz' hai na 'ghaalib' ki ghazal
fikr-e-'sadi' ki umangen hain na 'KHayyam' ka taur
rajnigandha ki kahani ko sabhi bhul gae
yaad shirin ka zamana hai na farhad ka daur
TimTimate hue aakash ke taron ki tarah
TuT ke main bhi kisi roz bikhar jaunga
meri mahbub teri pak mohabbat ki qasam
husn-e-yusuf ki qasam apni sadaqat ki qasam
zindagi zaKHm hai isa ki nubuwwat ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.