yaad
raat oḌhe hue aa.ī hai faqīroñ kā libās
chāñd kashkol-e-gadā.ī kī tarah nādim hai
ek ik saañs kisī naam ke saath aatī hai
ek ik lamha-e-āzād nafas mujrim hai
kaun ye vaqt ke ghūñghaT se bulātā hai mujhe
kis ke maḳhmūr ishāre haiñ ghaTāoñ ke qarīb
kaun aayā hai chaḌhāne ko tamannāoñ ke phuul
in sulagte hue lamhoñ kī chitāoñ ke qarīb
vo to tūfān thii, sailāb ne paalā thā use
us kī mad.hosh umañgoñ kā fusūñ kyā kahiye
thartharāte hue sīmāb kī tafsīr bhī kyā
raqs karte hue sho.ale kā junūñ kyā kahiye
raqs ab ḳhatm huā maut kī vaadī meñ magar
kisī paa.el kī sadā ruuh meñ tābinda hai
chhup gayā apne nihāñ-ḳhāne meñ sūraj lekin
dil meñ sūraj kī ik āvāra kiran zinda hai
kaun jaane ki ye āvāra kiran bhī chhup jaa.e
kaun jaane ki idhar dhund kā bādal na chhaTe
kis ko ma.alūm ki paa.el kī sadā bhī kho jaa.e
kis ko ma.alūm ki ye raat bhī kaaTe na kaTe
zindagī niiñd meñ Duube hue mandir kī tarah
ahd-e-rafta ke har ik but ko liye suutī hai
ghanTiyāñ ab bhī magar bajtī haiñ siine ke qarīb
ab bhī pichhle ko, ka.ī baar sahar hotī hai
raat oDhe hue aai hai faqiron ka libas
chand kashkol-e-gadai ki tarah nadim hai
ek ek sans kisi nam ke sath aati hai
ek ek lamha-e-azad nafas mujrim hai
kaun ye waqt ke ghunghaT se bulata hai mujhe
kis ke maKHmur ishaare hain ghaTaon ke qarib
kaun aaya hai chaDhane ko tamannaon ke phul
in sulagte hue lamhon ki chitaon ke qarib
wo to tufan thi, sailab ne pala tha use
us ki madhosh umangon ka fusun kya kahiye
thartharaate hue simab ki tafsir bhi kya
raqs karte hue shoale ka junun kya kahiye
raqs ab KHatm hua maut ki wadi mein magar
kisi pael ki sada ruh mein tabinda hai
chhup gaya apne nihan-KHane mein suraj lekin
dil mein suraj ki ek aawara kiran zinda hai
kaun jaane ki ye aawara kiran bhi chhup jae
kaun jaane ki idhar dhund ka baadal na chhaTe
kis ko malum ki pael ki sada bhi kho jae
kis ko malum ki ye raat bhi kaTe na kaTe
zindagi nind mein Dube hue mandir ki tarah
ahd-e-rafta ke har ek but ko liye suti hai
ghanTiyan ab bhi magar bajti hain sine ke qarib
ab bhi pichhle ko, kai bar sahar hoti hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Shahr-e-Aazar) (Pg. 99)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.