yaad nagar
maiñ os ban ke baras jā.ūñ tere sabze par
maiñ giit ban ke tirī vādiyoñ meñ kho jā.ūñ
bas ek baar bulā le mujhe vatan mere
ki terī ḳhaak ke dāman meñ chhup ke so jā.ūñ
shagufta ghaas meñ ye zard zard nanhe phuul
na jaane kis liye pagDanDiyoñ ko takte haiñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ un ko chunñe vaale aaj
gharoñ se duur kisī camp meñ sisakte haiñ
ka.ī gharānoñ kī fariyād is meñ Duub ga.ī
ab is kuñ.eñ pe na aa.egī koī panhārī
kisān khet na sīñcheñge aise paanī se
harī na hogī use pī ke koī phulvārī
yahīñ nadī ke kināre ise dabāyā thā
magar shabānoñ ko vo bārhā nazar aa.ī
haTī jo ret to chamkā vo chāñd sā māthā
chalī havā to vo resham sī zulf lahrā.ī
maiñ tere paañv paḌūñ haath rok le qātil
use na maar jo terī taraf humaktā hai
ye teġh ko bhī khilaunā samajhne vaalā hai
ye la.al pheñk ke añgāra chuus saktā hai
kahā kisī ne ki vo jald lauT ā.eñge
kahā kisī ne ki ummīd ab bahut kam hai
ilāhī Dūbte dil ko zarā sahārā de
mire charāġh kī lau aaj kitnī maddham hai
nibolī niim kī pakkī ab aa.egā sāvan
magar ye giit use aah kaise yaad aayā
vo apnī maañ se lipaT kar na ro sakegā kabhī
na sar pe haath kabhī rakh sakegā māñ-jāyā
sunā hai niiñd meñ vo chauñk chauñk paḌte haiñ
lahū ke daaġh the jin par vo haath jalte haiñ
paḌosiyoñ se ye kah do vo mish.aleñ rakh deñ
ki ek gaañv ke ghar saath saath jalte haiñ
ilāhī shaam ab is gaañv meñ na aane paa.e
ki is ke aate hī dukhiyā.eñ mil ke rotī haiñ
darinde apne bhaToñ meñ dahalne lagte haiñ
havā.eñ koh se Takrā ke jaan khotī hai
diye ke vāste nanhe panāh-gīr na ro
falak pe dekh vo qindīl-e-māh raushan hai
isī fazā meñ mire chāñd tū bhī ubhregā
jo tū hai saath to ġhurbat kī raah raushan hai
tilā.ī ghaas se vaadī meñ thā talātum sā
havā meñ narm shuāoñ kī sarsarāhaT thī
nayā thā chashma-e-mehr aur nayā thā rañg-e-sip.har
har ek goshe meñ lekin ajal kī aahaT thī
havā ne diip bujhāyā hī thā ki niklā chāñd
qalam ko tez chalāo ki ye bhī Duub na jaa.e
ḳhud apne dil ke ujāle kā e'tibār nahīñ
ki ek baar ye jaa.e to phir palaT ke na aa.e
ye chāñdnī kā ujālā ye nīm-shab kā sukūñ
safed gumbad-o-dar duudh meñ nahā.e hue
sitāro koī kahānī kaho ki raat kaTe
na yaad aa.eñ mujhe roz-o-shab bhulā.e hue
main os ban ke baras jaun tere sabze par
main git ban ke teri wadiyon mein kho jaun
bas ek bar bula le mujhe watan mere
ki teri KHak ke daman mein chhup ke so jaun
shagufta ghas mein ye zard zard nanhe phul
na jaane kis liye pagDanDiyon ko takte hain
unhen KHabar hi nahin un ko chunne wale aaj
gharon se dur kisi camp mein sisakte hain
kai gharanon ki fariyaad is mein Dub gai
ab is kunen pe na aaegi koi panhaari
kisan khet na sinchenge aise pani se
hari na hogi use pi ke koi phulwari
yahin nadi ke kinare ise dabaya tha
magar shabanon ko wo barha nazar aai
haTi jo ret to chamka wo chand sa matha
chali hawa to wo resham si zulf lahrai
main tere panw paDun hath rok le qatil
use na mar jo teri taraf humakta hai
ye tegh ko bhi khilauna samajhne wala hai
ye lal phenk ke angara chus sakta hai
kaha kisi ne ki wo jald lauT aaenge
kaha kisi ne ki ummid ab bahut kam hai
ilahi Dubte dil ko zara sahaara de
mere charagh ki lau aaj kitni maddham hai
niboli nim ki pakki ab aaega sawan
magar ye git use aah kaise yaad aaya
wo apni man se lipaT kar na ro sakega kabhi
na sar pe hath kabhi rakh sakega man-jaya
suna hai nind mein wo chaunk chaunk paDte hain
lahu ke dagh the jin par wo hath jalte hain
paDosiyon se ye kah do wo mishalen rakh den
ki ek ganw ke ghar sath sath jalte hain
ilahi sham ab is ganw mein na aane pae
ki is ke aate hi dukhiyaen mil ke roti hain
darinde apne bhaTon mein dahalne lagte hain
hawaen koh se Takra ke jaan khoti hai
diye ke waste nanhe panah-gir na ro
falak pe dekh wo qindil-e-mah raushan hai
isi faza mein mere chand tu bhi ubhrega
jo tu hai sath to ghurbat ki rah raushan hai
tilai ghas se wadi mein tha talatum sa
hawa mein narm shuaon ki sarsarahaT thi
naya tha chashma-e-mehr aur naya tha rang-e-siphar
har ek goshe mein lekin ajal ki aahaT thi
hawa ne dip bujhaya hi tha ki nikla chand
qalam ko tez chalao ki ye bhi Dub na jae
KHud apne dil ke ujale ka e'tibar nahin
ki ek bar ye jae to phir palaT ke na aae
ye chandni ka ujala ye nim-shab ka sukun
safed gumbad-o-dar dudh mein nahae hue
sitaro koi kahani kaho ki raat kaTe
na yaad aaen mujhe roz-o-shab bhulae hue
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 274)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.