yaad
yaad ek jañgal hai
udāsī jahāñ DhūñDtī hai
bāhar nikalne kā koī rāsta
rāsta mil jaane kī ḳhushī hai yaad
aur na milne kā aañsū
ruke hue āñsuoñ kā ḳhazāna hai yaad
yā tumhāre baġhair guzarte hue
lamhoñ kā Dher
yaad ek Dher hai
sūkhe hue pattoñ kā
barf kā yā ret kā
maiñ nahīñ jāntā
ek bachcha mujhe batātā hai
aur apne pistol meñ paanī bhar ke
Dher par Dāltā rahtā hai
yaad ek jangal hai
udasi jahan DhunDti hai
bahar nikalne ka koi rasta
rasta mil jaane ki KHushi hai yaad
aur na milne ka aansu
ruke hue aansuon ka KHazana hai yaad
ya tumhaare baghair guzarte hue
lamhon ka Dher
yaad ek Dher hai
sukhe hue patton ka
barf ka ya ret ka
main nahin jaanta
ek bachcha mujhe batata hai
aur apne pistol mein pani bhar ke
Dher par Dalta rahta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 141)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.