yaaden
hidāyat jis tarah gum-gashtagāñ ko hai sitāroñ se
vafādārī hai jaisī bādaloñ ko kohsāroñ se
kashish jaisī hai maujoñ ko samundar ke kināroñ se
samand-e-bād-pā kī jo itā.at hai savāroñ se
qalam ko jo ravānī hai musannif ke ishāroñ se
anādil ko hai jaisī unsiyat rangīñ bahāroñ se
tirā gum-gashta bādal huuñ samand-e-bād-pā huuñ maiñ
tirī mauj-o-qalam huuñ andalīb-e-bā-vafā huuñ maiñ
tirī yādoñ se hotī hai kuchh aisī kaifiyat paidā
ki maiñ huuñ har-nafas shaidā dil-o-jāñ se tirā shaidā
hidayat jis tarah gum-gashtagan ko hai sitaron se
wafadari hai jaisi baadalon ko kohsaron se
kashish jaisi hai maujon ko samundar ke kinaron se
samand-e-baad-pa ki jo itaat hai sawaron se
qalam ko jo rawani hai musannif ke ishaaron se
anadil ko hai jaisi unsiyat rangin bahaaron se
tera gum-gashta baadal hun samand-e-baad-pa hun main
teri mauj-o-qalam hun andalib-e-ba-wafa hun main
teri yaadon se hoti hai kuchh aisi kaifiyat paida
ki main hun har-nafas shaida dil-o-jaan se tera shaida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.