yaaden
kabhī rulā.e gale lagā kar
kabhī hañsā.e ye gudgudā kar
ye chalte phirte hasīn saa.e
nazar meñ apnī jagah banā.e
haiñ zindagī meñ vo apne shāmil
safar meñ jaise nishān-e-manzil
madhur madhur sī hai rāgnī sī
hai Dhalte chandā kī chāñdnī sī
ga.ī bahāroñ se ruup le kar
chaman se laa.e mahak churā kar
haiñ sarsarāte mahakte āñchal
thame thame se hasīn kuchh pal
ai yād-e-māzī ye tere manzar
jo vaqt guzre to vo bhī dekhe
Thahar Thahar kar
kabhi rulae gale laga kar
kabhi hansae ye gudguda kar
ye chalte phirte hasin sae
nazar mein apni jagah banae
hain zindagi mein wo apne shamil
safar mein jaise nishan-e-manzil
madhur madhur si hai ragni si
hai Dhalte chanda ki chandni si
gai bahaaron se rup le kar
chaman se lae mahak chura kar
hain sarsaraate mahakte aanchal
thame thame se hasin kuchh pal
ai yaad-e-mazi ye tere manzar
jo waqt guzre to wo bhi dekhe
Thahar Thahar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.