yaaden
mahfūz haiñ yādoñ meñ abhī tak vo ba-tadrīj
dohrātā hai ab tak vo fasāne dil-e-nākām
āġhāz-e-mohabbat ke vo biite hue lamhāt
vo hashr-ba-dil sā’at-e-dīdār kā hangām
vo sarv-o-sanobar kī tarah qāmat-e-zebā
sīmāb kī mānind vo raftār kā 'ālam
lahje meñ vo andāz nasīm-e-saharī kā
vo phuul kī sūrat lab-o-ruḳhsār kā 'ālam
hai yaad tujhe bhī ki nahīñ ai mirī mahbūb
jab baam se utrā thā tire husn kā ḳhurshīd
vo arz-e-tamanna pe tire dil kā dhḌaknā
vo nīchī nazar se mire jazbāt kī tā.īd
vo vaqt bhī hai yaad ham-āhang the do dil
ḳhāmosh nigāhoñ se thā iqrār vafā kā
aayā nahīñ go lafz mohabbat kā zabāñ par
har baat se hone lagā iz.hār vafā kā
phir tujh se judā ho ke guzāre haiñ vo din bhī
vo bhī dil-e-betāb ne dekhe haiñ zamāne
kyā kyā tire dīdār ko tarsī haiñ nigāheñ
kyā kyā na mulāqāt ke DhūñDe haiñ bahāne
tanhā.ī meñ har shab vo sajā.ī huī mahfil
vo tere tasavvur meñ guzārī huī rāteñ
ḳhushbū kā tirī zikr-e-hasīñ bād-e-sabā se
vo chāñd sitāroñ se tire husn kī bāteñ
phir dam se tire ye dil-e-vīrāñ huā ābād
phir terī rifāqat ne ka.ī chheḌ diye saaz
duniyā ko magar kab thī gavārā ye rifāqat
ab dāġh-e-judā.ī hai faqat hamdam-o-dam-sāz
dil aaj TaTolā hai to ye 'uqda khulā hai
sach ye hai ki maiñ ne tujhe chāhā hī nahīñ thā
kuchh is meñ mirā zauq-e-parastish bhī thā shāmil
puujā thā tujhe sirf sarāhā hī nahīñ thā
mahfuz hain yaadon mein abhi tak wo ba-tadrij
dohraata hai ab tak wo fasane dil-e-nakaam
aaghaz-e-mohabbat ke wo bite hue lamhat
wo hashr-ba-dil sa’at-e-didar ka hangam
wo sarw-o-sanobar ki tarah qamat-e-zeba
simab ki manind wo raftar ka 'alam
lahje mein wo andaz nasim-e-sahari ka
wo phul ki surat lab-o-ruKHsar ka 'alam
hai yaad tujhe bhi ki nahin ai meri mahbub
jab baam se utra tha tere husn ka KHurshid
wo arz-e-tamanna pe tere dil ka dhDakna
wo nichi nazar se mere jazbaat ki taid
wo waqt bhi hai yaad ham-ahang the do dil
KHamosh nigahon se tha iqrar wafa ka
aaya nahin go lafz mohabbat ka zaban par
har baat se hone laga izhaar wafa ka
phir tujh se juda ho ke guzare hain wo din bhi
wo bhi dil-e-betab ne dekhe hain zamane
kya kya tere didar ko tarsi hain nigahen
kya kya na mulaqat ke DhunDe hain bahane
tanhai mein har shab wo sajai hui mahfil
wo tere tasawwur mein guzari hui raaten
KHushbu ka teri zikr-e-hasin baad-e-saba se
wo chand sitaron se tere husn ki baaten
phir dam se tere ye dil-e-viran hua aabaad
phir teri rifaqat ne kai chheD diye saz
duniya ko magar kab thi gawara ye rifaqat
ab dagh-e-judai hai faqat hamdam-o-dam-saz
dil aaj TaTola hai to ye 'uqda khula hai
sach ye hai ki main ne tujhe chaha hi nahin tha
kuchh is mein mera zauq-e-parastish bhi tha shamil
puja tha tujhe sirf saraha hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.