yaaden
mujhe ab yaad nahīñ rahtā
maiñ aksar bhuul jaatī huuñ
terī yādeñ jo bikhrī thiiñ
mere kamre meñ yuuñ har-sū
sameT kar ek kone meñ rakh diyā hai
kabhī ye chādar tale simaT kar soī rahtīñ thiiñ
kabhī takiye tale dubkī paḌī rahtīñ
par ab yaad nahīñ rahtā ki ghar ke kis kone meñ
unheñ rakh kar maiñ bhuul baiThī huuñ
kabhī sub.h yahī yādeñ
palkoñ pe machaltī thiiñ
kabhī shabnam meñ nahā kar
ashkoñ meñ ġhota-zan hotīñ
magar ab aisā nahīñ rahā
ab yahī yādeñ zehn par baar lagtī haiñ
jinheñ maiñ phuul samjhī thī
vo mujh ko ḳhaar lagtī haiñ
sochtī huuñ ki in yādoñ se
dāman kaise bachā.ūñ
fuzūl yādoñ se kaise
apnā pīchhā chhuḌā.ūñ
mujhe ab yaad nahin rahta
main aksar bhul jati hun
teri yaaden jo bikhri thin
mere kamre mein yun har-su
sameT kar ek kone mein rakh diya hai
kabhi ye chadar tale simaT kar soi rahtin thin
kabhi takiye tale dubki paDi rahtin
par ab yaad nahin rahta ki ghar ke kis kone mein
unhen rakh kar main bhul baiThi hun
kabhi subh yahi yaaden
palkon pe machalti thin
kabhi shabnam mein naha kar
ashkon mein ghota-zan hotin
magar ab aisa nahin raha
ab yahi yaaden zehn par bar lagti hain
jinhen main phul samjhi thi
wo mujh ko KHar lagti hain
sochti hun ki in yaadon se
daman kaise bachaun
fuzul yaadon se kaise
apna pichha chhuDaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.