yaaden
vo lamhe kitne dilkash the
vo ghaḌiyāñ kitnī pyārī thiiñ
jug jug kī do pyāsī rūheñ
be-ḳhauf-o-ḳhatar anjān milīñ
ik peḌ kī ThanDī chhāñv tale
vo vaqt hai ab tak yaad mujhe
jab jang ke bādal chhā.e the
dushman sarhad par aa.e the
kuchh tank top bhī laa.e the
phir to vo muñh kī khaa.e the
bhārat ke viir sipāhī se
vo vaqt hai ab tak yaad mujhe
majbūr-o-nihattī ye jantā
jab maañg rahī thī haq apnā
daana paanī roTī kapḌā
le kar lāThī DañDā bhālā
maġhrūr sipāhī TuuT paḌe
vo vaqt hai ab tak yaad mujhe
jab bhuuk palī dahqānoñ meñ
jab aag lagī khaliyānoñ meñ
jab maañg baḌhī sāmānoñ meñ
rū-posh hue tah-ḳhānoñ meñ
baqqāl ke saare bhaag khule
vo vaqt hai ab tak yaad mujhe
jiine kā har ik sāmān bikā
aflās-zada insān bikā
kauḌī kauḌī īmān bikā
saste dāmoñ abhīmān bikā
phir paap ke chashme phuuT paḌe
vo vaqt hai ab tak yaad mujhe
wo lamhe kitne dilkash the
wo ghaDiyan kitni pyari thin
jug jug ki do pyasi ruhen
be-KHauf-o-KHatar anjaan milin
ek peD ki ThanDi chhanw tale
wo waqt hai ab tak yaad mujhe
jab jang ke baadal chhae the
dushman sarhad par aae the
kuchh tank top bhi lae the
phir to wo munh ki khae the
bhaarat ke wir sipahi se
wo waqt hai ab tak yaad mujhe
majbur-o-nihatti ye janta
jab mang rahi thi haq apna
dana pani roTi kapDa
le kar laThi DanDa bhaala
maghrur sipahi TuT paDe
wo waqt hai ab tak yaad mujhe
jab bhuk pali dahqanon mein
jab aag lagi khaliyanon mein
jab mang baDhi samanon mein
ru-posh hue tah-KHanon mein
baqqal ke sare bhag khule
wo waqt hai ab tak yaad mujhe
jine ka har ek saman bika
aflas-zada insan bika
kauDi kauDi iman bika
saste damon abhiman bika
phir pap ke chashme phuT paDe
wo waqt hai ab tak yaad mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.