yaaden
yādeñ hotī haiñ samundar ke
sāhil par ghūmte ek bachche kī tarah
jo uThā kar kisī siipī
kisī kankaḌ ko rakh le
apne nanhe se ḳhazāne meñ
aur phir ek din vahī kankaḌ
hāthoñ se chhūT jaate haiñ anjāne meñ
phir juT jaatā hai vo nādān
baTor kar unheñ
phir se sajāne meñ
yaaden hoti hain samundar ke
sahil par ghumte ek bachche ki tarah
jo uTha kar kisi sipi
kisi kankaD ko rakh le
apne nanhe se KHazane mein
aur phir ek din wahi kankaD
hathon se chhuT jate hain anjaane mein
phir juT jata hai wo nadan
baTor kar unhen
phir se sajaane mein
- Book : Khwaahish-e-Parwaaz Urge to Fly (Pg. 38)
- Author : Aditya Pant Naaqid
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.