yaft aur nayaft ka masala
yaaft aur nāyāft meñ
uljhe hue
ye sochte rahte haiñ ham aksar
ki paanā aap apne ko
nahīñ āsāñ
mahd se tā-lahad ham DhūñDte rahte haiñ ḳhud ko
kaun jaane kab hamārī yaaft kā lamha
kisī pāras kī sūrat ham se Takrā.e
na jaane kab ham apne aap ko pā leñ
magar ye bhī zarūrī to nahīñ hogā ki phir se
gum na kar deñ ḳhud ko is jangal meñ ik tinke kī sūrat
ki kho jaanā muqaddar hai
amal ye
ḳhud ko khone aur paane kā amal
jaarī hai aur jaarī rahegā
yaaft aur nāyāft ke in marhaloñ se
ham guzarte hī raheñge
aur ik din
thakan baḌh jā.egī itnī
ki phir ye yaaft aur nāyāft kā
ehsās hī jaatā rahegā
magar is yaaft aur nāyāft kī uljhan meñ
ik lazzat bhī hai
aur ham isī uljhan ko siine se lagā.e
DhūñDte rahte haiñ ḳhud ko
kab hamārī yaaft kā lamha
kisī pāras kī sūrat ham se Takrā.e
hameñ kundan banā de
yaft aur nayaft mein
uljhe hue
ye sochte rahte hain hum aksar
ki pana aap apne ko
nahin aasan
mahd se ta-lahad hum DhunDte rahte hain KHud ko
kaun jaane kab hamari yaft ka lamha
kisi paras ki surat hum se Takrae
na jaane kab hum apne aap ko pa len
magar ye bhi zaruri to nahin hoga ki phir se
gum na kar den KHud ko is jangal mein ek tinke ki surat
ki kho jaana muqaddar hai
amal ye
KHud ko khone aur pane ka amal
jari hai aur jari rahega
yaft aur nayaft ke in marhalon se
hum guzarte hi rahenge
aur ek din
thakan baDh jaegi itni
ki phir ye yaft aur nayaft ka
ehsas hi jata rahega
magar is yaft aur nayaft ki uljhan mein
ek lazzat bhi hai
aur hum isi uljhan ko sine se lagae
DhunDte rahte hain KHud ko
kab hamari yaft ka lamha
kisi paras ki surat hum se Takrae
hamein kundan bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.