yas ke parde mein
najāt ġham se kabhī milī hai na zindagī bhar kabhī milegī
taḌap ke niklegī jān-e-muztar agar kisī din ḳhushī milegī
jo rāzdārī vatan meñ pinhāñ thā kaun is ko na jāntā thā
ki ik taraf ḳhvājgī milegī to ik taraf bandagī milegī
yahī hai jamhūriyat ke ma.anī to phir ġhulāmī kā kaisā shikva
kisī ko ġham hogā aur kisī ko masarrat-e-dā.imī milegī
kise ḳhabar thī ki inqilāb-e-zamāna badlegā karvaT aisī
jo kāfirī ko faroġh degā usī ko paiġhambarī milegī
jo mulk meñ inqilāb aaya to qatl-o-ġhārat ke saath aaya
samajh rahe the samajhne vaale ki ik na.ī zindagī milegī
udāsiyoñ ne ujaaḌ Daalā kuchh is tarah baaġh aarzū kā
na tāza-dam is meñ gul mileñge na muskurātī kalī milegī
zamāna vāqif na thā kuchh is se ki aisā qaht-e-girāñ paḌegā
jo chiiz milnī thī chaar paisoñ ko ashrafī par vahī milegī
ye kyā ḳhabar thī ki fāqa-mastī meñ satr-poshī bhī hogī mushkil
amaañ kī jab hoñgī iltijā.eñ to qatl-o-ġhārat-garī milegī
chhupegā insāniyat kā sūraj hujūm-e-kulfat kī āñdhiy.oñ meñ
baḌhegā zauq-e-siyāhkārī diloñ meñ bhī tīrgī milegī
magar ye fitrat kī inqilābī numā.isheñ mujh se kah rahī haiñ
inhī añdheroñ se bazm-e-gītī ko ek din raushnī milegī
najat gham se kabhi mili hai na zindagi bhar kabhi milegi
taDap ke niklegi jaan-e-muztar agar kisi din KHushi milegi
jo raazdari watan mein pinhan tha kaun is ko na jaanta tha
ki ek taraf KHwajgi milegi to ek taraf bandagi milegi
yahi hai jamhuriyat ke mani to phir ghulami ka kaisa shikwa
kisi ko gham hoga aur kisi ko masarrat-e-daimi milegi
kise KHabar thi ki inqilab-e-zamana badlega karwaT aisi
jo kafiri ko farogh dega usi ko paighambari milegi
jo mulk mein inqilab aaya to qatl-o-ghaarat ke sath aaya
samajh rahe the samajhne wale ki ek nai zindagi milegi
udasiyon ne ujaD Dala kuchh is tarah bagh aarzu ka
na taza-dam is mein gul milenge na muskuraati kali milegi
zamana waqif na tha kuchh is se ki aisa qaht-e-giran paDega
jo chiz milni thi chaar paison ko ashrafi par wahi milegi
ye kya KHabar thi ki faqa-masti mein satr-poshi bhi hogi mushkil
aman ki jab hongi iltijaen to qatl-o-ghaarat-gari milegi
chhupega insaniyat ka suraj hujum-e-kulfat ki aandhiyon mein
baDhega zauq-e-siyahkari dilon mein bhi tirgi milegi
magar ye fitrat ki inqilabi numaishen mujh se kah rahi hain
inhi andheron se bazm-e-giti ko ek din raushni milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.