yad-e-baiza
mirī hathelī ke saañp kab tak Daseñge mujh ko
mirī hathelī ke saañp jo ab
mirī ragoñ meñ utar chuke haiñ
badan ko zanjīr kar chuke haiñ
maiñ ḳhvāb dekhūñ to koī āñkhoñ pe haath rakh de
qadam uThā.ūñ to koī mere qadam pakḌe
palaT ke dekhūñ to koī pīchhe na koī aage
bas ek saaya
mirī haqīqat kā ik kināya
mirī haqīqat ki meñ añdhere kī rahnumā.ī meñ chal rahā huuñ
azal se ik sāmrī ke sāñpoñ meñ pal rahā huuñ
mirī hathelī ki jis meñ raushan
vo aag bhī hai vo nuur bhī hai
jo dast-e-mūsā hai tuur bhī hai
jo is asā kī talāsh meñ hai
jo har tahī-dast kī matā-e-girāñ-bahā hai
jo kushtagān-e-tilism-e-zar kī hayāt-e-tāza kā mo.ajiza hai
jo ahd-e-hāzir ke sāhiroñ
aur un ke pāniyoñ ke vāste
zarbat-e-qazā hai
meri hatheli ke sanp kab tak Dasenge mujh ko
meri hatheli ke sanp jo ab
meri ragon mein utar chuke hain
badan ko zanjir kar chuke hain
main KHwab dekhun to koi aankhon pe hath rakh de
qadam uThaun to koi mere qadam pakDe
palaT ke dekhun to koi pichhe na koi aage
bas ek saya
meri haqiqat ka ek kinaya
meri haqiqat ki mein andhere ki rahnumai mein chal raha hun
azal se ek samri ke sanpon mein pal raha hun
meri hatheli ki jis mein raushan
wo aag bhi hai wo nur bhi hai
jo dast-e-musa hai tur bhi hai
jo is asa ki talash mein hai
jo har tahi-dast ki mata-e-giran-baha hai
jo kushtagan-e-tilism-e-zar ki hayat-e-taza ka moajiza hai
jo ahd-e-hazir ke sahiron
aur un ke paniyon ke waste
zarbat-e-qaza hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 273)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.