zamāne meñ koī burā.ī nahīñ hai
faqat ik tasalsul kā jhūlā ravāñ hai
ye maiñ kah rahā huuñ
maiñ koī burā.ī nahīñ huuñ zamāna nahīñ huuñ tasalsul kā jhūlā nahīñ huuñ
mujhe kyā ḳhabar kyā burā.ī meñ hai kyā zamāne meñ hai aur phir maiñ to ye bhī kahūñgā
ki jo shai akelī rahe us kī manzil fanā hī fanā hai
burā.ī bhalā.ī zamāna tasalsul ye bāteñ baqā ke gharāne se aa.ī huī haiñ
mujhe to kisī bhī gharāne se koī ta.alluq nahīñ hai
maiñ huuñ ek aur maiñ akelā huuñ ek ajnabī huuñ
ye bastī ye jañgal ye bahte hue raste aur dariyā
ye parbat achānak nigāhoñ meñ aatī huī koī ūñchī imārat
ye ujḌe hue maqbare aur marg-e-musalsal kī sūrat mujāvir
ye hañste hue nanhe bachche ye gaaḌī se Takrā ke martā huā ek andhā musāfir
havā.eñ nabātāt aur āsmāñ par udhar se udhar aate jaate hue chand bādal
ye kyā haiñ
yahī to zamāna hai ye ek tasalsul kā jhūlā ravāñ hai
ye maiñ kah rahā huuñ
ye bastī ye jañgal ye raste ye dariyā ye parbat imārat mujāvir musāfir
havā.eñ nabātāt aur āsmāñ par udhar se udhar aate jaate hue chand bādal
ye sab kuchh ye har shai mire hī gharāne se aa.ī huī hai
zamāna huuñ maiñ mere hī dam se an-miT tasalsul kā jhūlā ravāñ hai
magar mujh meñ koī burā.ī nahīñ hai
ye kaise kahūñ maiñ
ki mujh meñ fanā aur baqā donoñ aa kar mile haiñ
zamane mein koi burai nahin hai
faqat ek tasalsul ka jhula rawan hai
ye main kah raha hun
main koi burai nahin hun zamana nahin hun tasalsul ka jhula nahin hun
mujhe kya KHabar kya burai mein hai kya zamane mein hai aur phir main to ye bhi kahunga
ki jo shai akeli rahe us ki manzil fana hi fana hai
burai bhalai zamana tasalsul ye baaten baqa ke gharane se aai hui hain
mujhe to kisi bhi gharane se koi talluq nahin hai
main hun ek aur main akela hun ek ajnabi hun
ye basti ye jangal ye bahte hue raste aur dariya
ye parbat achanak nigahon mein aati hui koi unchi imarat
ye ujDe hue maqbare aur marg-e-musalsal ki surat mujawir
ye hanste hue nanhe bachche ye gaDi se Takra ke marta hua ek andha musafir
hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal
ye kya hain
yahi to zamana hai ye ek tasalsul ka jhula rawan hai
ye main kah raha hun
ye basti ye jangal ye raste ye dariya ye parbat imarat mujawir musafir
hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal
ye sab kuchh ye har shai mere hi gharane se aai hui hai
zamana hun main mere hi dam se an-miT tasalsul ka jhula rawan hai
magar mujh mein koi burai nahin hai
ye kaise kahun main
ki mujh mein fana aur baqa donon aa kar mile hain
- Book : Kulliyat Meeraji (Pg. 237)
- Author : Dr. Jameel Jalbi
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.