yahan likhna mana hai
pākīza Thahrā.ī jaane vaalī
dīvāroñ par likkhā hai
yahāñ likhnā man.a hai
vahīñ likh dete haiñ log
be-sharmī se gāliyāñ
ba-hūda na.are
farsūda maz.habī ahkāmāt
maiñ likh duuñ vahāñ
vo lafz
jo mere andar mar rahe haiñ
par likh nahīñ saktā
dīvāreñ roktī haiñ mujhe
roktī haiñ
mere andar
dīvāroñ ko girne se
ek jeneral kahtā hai
yā avaam kā numā.inda kahtā hai
chup raho
giḌgiḌāte hue bolo
maiñ likh duuñ
merī maañ ko merī mahbūba honā chāhiye thā
aur mere baap ko
merī āñkhoñ se duur
likh duuñ
saffāk sabab
apne dil meñ darāḌ paḌne kā
jo ek din aap hī aap
khañDar meñ badal jā.egā
maiñ likh duuñ
vo sab
jo yahāñ likhnā man.a hai!
pakiza Thahrai jaane wali
diwaron par likkha hai
yahan likhna mana hai
wahin likh dete hain log
be-sharmi se galiyan
ba-huda nare
farsuda mazhabi ahkaamat
main likh dun wahan
wo lafz
jo mere andar mar rahe hain
par likh nahin sakta
diwaren rokti hain mujhe
rokti hain
mere andar
diwaron ko girne se
ek jeneral kahta hai
ya awam ka numainda kahta hai
chup raho
giDgiDate hue bolo
main likh dun
meri man ko meri mahbuba hona chahiye tha
aur mere bap ko
meri aankhon se dur
likh dun
saffak sabab
apne dil mein daraD paDne ka
jo ek din aap hi aap
khanDar mein badal jaega
main likh dun
wo sab
jo yahan likhna mana hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.